Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
zindagi pyaar bhari main ne yaqinan ji hai
aap piite hain to lagtaa hai ki main ne pi hai
زندگی پیار بھری میں نے یقیناً جی ہے
آپ پیتے ہیں تو لگتا ہے کہ میں نے پی ہے
ज़िंदगी प्यार भरी मैं ने यक़ीनन जी है
आप पीते हैं तो लगता है कि मैं ने पी है

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil mein ab kuchh bhi nahin un ki mohabbat ke sivaa
sab fasaane hain haqiqat mein haqiqat ke sivaa