Shayari
bujhaaun kyaa charaagh-e-subh-gaahi
mire ghar shaam honi hai sahar se
chaahat kaa jab mazaa hai ki vo bhi hon be-qaraar
donon taraf ho aag baraabar lagi hui
چاہت کا جب مزا ہے کہ وہ بھی ہوں بے قرار
دونوں طرف ہو آگ برابر لگی ہوئی
चाहत का जब मज़ा है कि वो भी हों बे-क़रार
दोनों तरफ़ हो आग बराबर लगी हुई

bujhaaun kyaa charaagh-e-subh-gaahi
mire ghar shaam honi hai sahar se
shirkat gunaah mein bhi rahe kuchh savaab ki
tauba ke saath toDiye botal sharaab ki
kuchh to hote hain mohabbat mein junun ke aasaar
aur kuchh log bhi divaana banaa dete hain
samjheinge na aghyaar ko aghyaar kahaan tak
kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kaheinge
ishq hai ishq to ik roz tamaashaa hogaa
aap jis munh ko chhupaate hain dikhaanaa hogaa
ishq kyaa shai hai husn hai kyaa chiiz
kuchh idhar ki hai kuchh udhar ki aag
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
abr se aur dhuup se rishta hai ek saa miraa
aaine aur charaagh ke biich kaa faasla huun main
masjid abru mein teri mardumuk hai jiyun imaam
mu-e-mizhgaan muqtadi ho mil ke karte hain namaaz
bose gar ham ne liye hain to diye bhi tum ko
chhuT gae aap ke ehsaan se baraabar ho kar
rouun to khush ho ke piye hai vo mai
samjhe hai mausam ise barsaat kaa
main un musaafiron mein huun is chashm-e-tar ke haath
ghar se nikal ke ho jise barsaat raah mein