Shayari
kuchh bhi dekhaa nahin thaa main ne jab
har nazaara thaa meri aankhon mein
Z
Zakariya Shazzamaane ho gae hain chalte chalte
kahaan jaataa ye dil kaa raasta hai
زمانے ہو گئے ہیں چلتے چلتے
کہاں جاتا یہ دل کا راستہ ہے
ज़माने हो गए हैं चलते चलते
कहाँ जाता ये दिल का रास्ता है
kuchh bhi dekhaa nahin thaa main ne jab
har nazaara thaa meri aankhon mein
ai gardish-e-ayyaam hamein ranj bahut hai
kuchh khvaab the aaise ki bikharne ke nahin the
taalluq hi nahin hai jin se meraa
main un khadshaat mein rakkhaa huaa huun
dukh na sahne ki sazaaon mein ghiraa rahtaa hai
shahr kaa shahr duaaon mein ghiraa rahtaa hai
ye alag baat ki chalte rahe sab se aage
varna dekhaa hi nahin teri talab se aage
jab bhi ghar ke andar dekhne lagtaa huun
khiDki khol ke baahar dekhne lagtaa huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa