SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNida Fazli(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hue sab ke jahaan mein ek jab apnaa jahaan aur ham musalsal laDte rahte hain zamin-o-aasmaan aur ham kabhi aakaash ke taare zamin par bolte bhi the kabhi aisaa bhi thaa jab saath thiin tanhaaiyaan aur ham sabhi ik dusre ke dukh mein sukh mein rote hanste the kabhi the ek ghar ke chaand suraj naddiyaan aur ham moarrikh ki qalam ke chand lafzon si hai ye duniyaa badalti hai har ik yug mein hamaari daastaan aur ham darakhton ko haraa rakhne ke zimmedaar the donon jo sach puchho baraabar ke hain mujrim baaghbaan aur ham"
Nida FazliNida Fazli
Quote
"achchhi nahin ye khaamushi shikva karo gila karo yuun bhi na kar sako to phir ghar mein khudaa khudaa karo shohrat bhi us ke saath hai daulat bhi us ke haath hai khud se bhi vo mile kabhi us ke liye duaa karo dekho ye shahr hai ajab dil bhi nahin hai kam ghazab shaam ko ghar jo aauun main thoDaa saa saj liyaa karo dil mein jise basaao tum chaand use banaao tum vo jo kahe paDhaa karo jo na kahe sunaa karo meri nashist pe bhi kal aaegaa koi dusraa tum bhi banaa ke raasta mere liye jagah karo"
Nida FazliNida Fazli
Quote
"meri teri duriyaan hain ab ibaadat ke khilaaf har taraf hai fauj-aaraai mohabbat ke khilaaf harf-e-sarmad khun-e-daaraa ke alaava shahr mein kaun hai jo sar uThaae baadshaahat ke khilaaf pahle jaisaa hi dukhi hai aaj bhi buDhaa kabir koi aayat kaa mukhaalif koi murat ke khilaaf main bhi chup huun tu bhi chup hai baat ye sach hai magar ho rahaa hai jo bhi vo to hai tabiat ke khilaaf muddaton ke baad dekhaa thaa use achchhaa lagaa der tak hanstaa rahaa vo apni aadat ke khilaaf"
Nida FazliNida Fazli
Quote
"balaa vo Tal gai sadqe mein jis ke shahr chaDhe hamein Dubo ke na ab koi khuni nahr chaDhe baDhaa jo main thake qadmon ne bad-du’aa ye di qadam qadam tujhe pagDanDiyon kaa zahr chaDhe vahi milan kaa samaan us se maanjhiyo hogaa nadi mein chaand ki jab naav lahr-lahr chaDhe khudaa kare tiraa tan-man rahe yunhi ujlaa na tere gaanv pe gard-e-havaa-e-shahr chaDhe Dhakun badan to gae mausamon ki bu mahke badan ko kholun to bhigi ruton kaa zahr chaDhe banaa vo chaand musavvir to us pe qaid lagi na ab makaanon ki chhat par vo jaan-e-dahr chaDhe"
Nida FazliNida Fazli
Quote
"kuchh bhi bachaa na kahne ko har baat ho gai aao kahin sharaab piyein raat ho gai phir yuun huaa ki vaqt kaa paansa palaT gayaa ummid jiit ki thi magar maat ho gai suraj ko chonch mein liye murghaa khaDaa rahaa khiDki ke parde khinch diye raat ho gai vo aadmi thaa kitnaa bhalaa kitnaa pur-khulus us se bhi aaj liije mulaaqaat ho gai raste mein vo milaa thaa main bach kar guzar gayaa us ki phaTi qamis mire saath ho gai naqsha uThaa ke koi nayaa shahr DhunDhiye is shahr mein to sab se mulaaqaat ho gai"
Nida FazliNida Fazli
Quote
"apnaa gham le ke kahin aur na jaayaa jaae ghar mein bikhri hui chizon ko sajaayaa jaae jin charaaghon ko havaaon kaa koi khauf nahin un charaaghon ko havaaon se bachaayaa jaae khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab mein aur kuchh din abhi auron ko sataayaa jaae baagh mein jaane ke aadaab huaa karte hain kisi titli ko na phulon se uDaayaa jaae kyaa huaa shahr ko kuchh bhi to dikhaai de kahin yuun kiyaa jaae kabhi khud ko rulaayaa jaae ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar lein kisi rote hue bachche ko hansaayaa jaae"
Nida FazliNida Fazli
Quote
"man bai-raagi tan anuraagi qadam qadam dushvaari hai jivan jiinaa sahl na jaano bahut baDi fankaari hai auron jaise ho kar bhi ham baa-izzat hain basti mein kuchh logon kaa sidhaa-pan hai kuchh apni ayyaari hai jab jab mausam jhumaa ham ne kapDe phaaDe shor kiyaa har mausam shaaista rahnaa kori duniyaa-daari hai aib nahin hai is mein koi laal-pari naa phul-kali ye mat puchho vo achchhaa hai yaa achchhi naadaari hai jo chehra dekhaa vo toDaa nagar nagar viraan kiye pahle auron se naa-khush the ab khud se be-zaari hai"
Nida FazliNida Fazli