SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ik daf'a uljhe to uljhe hi rahe pyaar ke saude mein ghaaTe hi rahe dekh kar vo bas tamaashaai rahaa aur ham daldal mein dhanste hi rahe vo haqiqat ki taraf baDhtaa rahaa us ke sapne sirf sapne hi rahe vaqt dariyaa ki tarah bahtaa rahaa be-'amal bas haath malte hi rahe jaise jaise raushni baDhti gai sab ke chehre phike paDte hi rahe shaakh se TuuTe the jo patte kabhi abr bhi barsaa to sukhe hi rahe rahmaton ki baarishein hoti rahin aur zamin vaale ki pyaase hi rahe 'ishq ne barzakh mein rakkhaa yuun ki ham un ke ho paae na khud ke hi rahe vaqt kaa suraj jagaataa hi rahaa vo magar aankhon ko munde hi rahe rahbari par naaz thaa jin ko kabhi dil ki raahon mein vo bhaTke hi rahe chehra paDhnaa mujh ko aataa thaa magar chehre ke pichhe bhi chehre hi rahe"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"zabaan kar ke muqaffal tum sadaaein chaahte ho sazaa dete ho pahle phir du'aaein chaahte ho ghuTan hai dard hai dil mein chhupi tanhaai hai sisakti hai mohabbat tum adaaein chaahte ho kiyaa barbaad qudrat ko kuchal Daalaa magar ab mahakti si fazaaein aur ghaTaaein chaahte ho simaT kar zaat mein apni qafas mein qaid ho kar tumhein parvaaz ki zid hai havaaein chaahte ho suno khud-gharziyon ki koi to ho intihaa naa jafaa kar ke hamin se tum vafaaein chaahte ho zamin aur aasmaan aae na tum ko raas 'mitaa' nahin hairat ki ab tum bhi khalaaein chaahte ho"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"nihaan si chaadar ki silvaTon mein na jaane kitni hikaayatein hain kahin to qisse visaal ke hain kahin sisakti nadaamatein hain jidhar bhi dekho hai nafraton kaa 'adaavaton kaa vahi tamaashaa kuduratein hain riqaabatein hain mohabbaton mein tijaaratein hain hain yaad ab bhi vo gul-mohar ke do peD mere hi ghar ke baahar magar jahaan tak nazar hai jaati ab unchi unchi 'imaaratein hain bahut hasin thaa vo ek lamha nazar nazar se gale mili jab nazar nazar mein sukhan kahe jab vo kitni pyaari samaa'atein hain"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"ye jo 'ishq hai ye balaa hai yaa hai tilism ye ki kamaal hai go ye zindagi kaa 'uruj hai yahi zindagi kaa zavaal hai hai jo raat din tiri aarzu ye jo har ghaDi tiri justuju ise kyaa kahun ki ye silsila khud-aziyyati ki misaal hai yuun hi gungunaataa hai dil miraa hai bharam ki tu hai yahaan kahin mujhe hai khabar tu yahaan nahin ye to mausamon ki hi chaal hai thi 'ajab si maang huzur ki rahein paas bhi zaraa duur bhi huaa ye natija ki ab jo hai na to hijr hai na visaal hai vahi uljhi uljhi si guftugu koi khel hai ye ki chaal hai tujhe jab bhi puchhun main kuchh kabhi tiraa har javaab savaal hai tu nahin yahaan tiri yaad hai tiraa hijr meri hayaat ab tu na ho ke bhi mire paas hai ye mohabbaton kaa kamaal hai"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"vo rishta yuun nibhaanaa chaahtaa hai maraasim ghaaebaana chaahtaa hai vo jhagDe kaa bahaanaa chaahtaa hai mujhe phir aazmaanaa chaahtaa hai tabi'at shaa'iraana chaahtaa hai so apnaa dil jalaanaa chaahtaa hai vo jis ne har qadam sikhaa hai ham se vo ab ham ko sikhaanaa chaahtaa hai bahut maa'sum hai mahbub meraa ki haare ko haraanaa chaahtaa hai vo ziddi hai kisi bachche ki surat Thahartaa hai na jaanaa chaahtaa hai parinda kab talak uDtaa rahegaa vo din Dhalte Thikaanaa chaahtaa hai use to chaahiye pahli si chaahat zamaana vo puraanaa chaahtaa hai"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"taare jo bujh gae vo mire aasmaan ke the murjhaa gae jo phuul mire gulsitaan ke the jo chikh dab gai thi vo ik be-zabaan ki thi jo naqsh miT gae vo kisi kaarvaan ke the bachche ko khelne ki ijaazat na de sakaa majbur thaa khilaune vo us ki dukaan ke the ham se shuru' thi na vo ham par hi khatm thi lagtaa hai is kahaani mein ham darmiyaan ke the jo aaj bik rahe hain sajaane ko mahfilein hai kal ki baat vo bhi kisi gulsitaan ke the bikhre to phir vujud kisi kaa na rah sakaa TuuTe hue ye hisse kabhi ik makaan ke the har baar kar ke vaar vo itraae thaa magar naadaan thaa vo vaar bas ik naa-tavaan ke the jin ke dilon mein pyaar mohabbat khulus thaa vo kis tarah ke log the vo kis jahaan ke the"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"vo jhagDe kaa bahaana chaahtaa hai mujhe phir aazmaanaa chaahtaa hai vo rishta yuun nibhaanaa chaahtaa hai maraasim ghaaebaana chaahtaa hai ayaan hotaa hai khaamoshi ke zariye vahi jo vo chhupaanaa chaahtaa hai vo jis ne har qadam sikhaa hai ham se vo ab ham ko sikhaanaa chaahtaa hai vo ziddi hai kisi bachche ki surat Thahartaa hai na jaanaa chaahtaa hai jo bhaDkaai thi us ne nafraton se vo jumlon se bujhaanaa chaahtaa hai bahut maasum hai mahbub meraa ki haare ko haraanaa chaahtaa hai"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"kyaa main ik harf thaa likhaa yuun hi meraa honaa bhi bas huaa yuun hi jaanti huun ki tum ko pyaar nahin yuun hi mujh ko lagaa lagaa yuun hi ik khudaa ki vo baat kartaa thaa aur phir ho gayaa khudaa yuun hi kyaa pataa kab qubul ho jaae tu bhi to maang liin duaa yuun hi ek khadsha hai bahke qadmon se DhunD hi lein na raasta yuun hi vo hamaare the aur ham un ke aa gai darmiyaan anaa yuun hi tum ne jo kuchh kahaa kahaa yuun hi main ne bhi sun liyaa sunaa yuun hi ek lamhe mein dil huaa un kaa ho gayaa thaa ye faisla yuun hi kyaa zaruri hai manzilon kaa safar tu bhi chal koi raasta yuun hi mukhtasar si hai daastaan 'mitaa' har koi bas jiyaa jiyaa yuun hi"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"roz-e-azal se jaari sazaaon kaa silsila phir bhi thamaa nahin hai khataaon kaa silsila qaaem hai ab bhi meri vafaaon kaa silsila ik silsila hai un ki jafaaon kaa silsila ab ashk-baar hote nahin hain duaaon mein naakaam yuun huaa hai duaaon kaa silsila paanv tale zamin na milaa aasmaan koi meraa safar hai jaise khalaaon kaa silsila aazaad ho chuki huun har ik silsile se main le jaae ab kahin bhi havaaon kaa silsila khud saakhta khudaaon ne jiinaa kiyaa muhaal rab jaane kab rukegaa khudaaon kaa silsila muflis ki zindagi to hai muflis ki zindagi khaamosh an-kahi si sadaaon kaa silsila"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"mohabbat umr bhar ki raaegaan karnaa nahin achchhaa sambhal ai dil anaa ko aasmaan karnaa nahin achchhaa kuchh aise raaz hote hain bayaan karnaa nahin achchhaa har ik chehre ki sachchaai ayaan karnaa nahin achchhaa kisi naakaam hasrat ki jo sulge aag siine mein havaa yaadon ki mat denaa dhyaan karnaa nahin achchhaa chaman mein huun to phir main bhi chaman kaa ek hissa huun taghaaful itnaa mere baaghbaan karnaa nahin achchhaa hifaazat se utaaro ashk-e-gham ko dil ki siipi mein kisi qatre ko bahr-e-be-karaan karnaa nahin achchhaa ujaale hi nahin hai tirgi bhi ziist kaa haasil ki in taarikiyon ko be-zabaan karnaa nahin achchhaa"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"kah bhi duun haal-e-dil agar shaayad un pe ho jaae kuchh asar shaayad ab zamaana hai bevafaai kaa siikh lein ham bhi ye hunar shaayad baad muddat ke ye khayaal aayaa raas aayaa nahin safar shaayad ham hi ab tak samajh nahin paae kuchh to kahti hai vo nazar shaayad vaise to faasla nahin koi kashmakash hai agar magar shaayad har nazaare mein us kaa hi jalva tum ko aataa nahin nazar shaayad ajnabi ajnabi se chehre hain ye nahin hai miraa nagar shaayad niind taari hai aasmaanon par yaa duaa mein nahin asar shaayad ab koi aarzu nahin baaqi khatm hotaa hai ye safar shaayad mauj-dar-mauj ek nashsha thaa ab vo dariyaa gayaa utar shaayad zindagi ab tujhe sanvaare kyaa koshishein saari be-asar shaayad ik jahaan ajnabi rahaa 'mitaa' ik jahaan mujh se baa-khabar shaayad"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"shiddat-e-shauq se afsaane to ho jaate hain phir na jaane vahi aashiq kahaan kho jaate hain mujh se irshaad ye hotaa hai ki samjhun un ko aur phir bhiiD mein duniyaa ki vo kho jaate hain dard jab zabt ki har had se guzar jaataa hai khvaab tanhaai ke aaghosh mein so jaate hain bas yunhi kahte hain vo mere hain mere honge aur ik pal mein kisi aur ke ho jaate hain ham to paaband-e-vafaa pahle bhi the aaj bhi hain aap hi faasle le aae to lo jaate hain koi tadbir na taqdir se lenaa-denaa bas yunhi faisle jo hone hain ho jaate hain kuchh to ehsaas-e-mohabbat se huiin nam aankhein kuchh tiri yaad ke baadal bhi bhigo jaate hain"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"dard bhi uThtaa rahaa aur ghaav bhi riste rahe koshishein naakaam thiin so 'ishq mein uljhe rahe chal rahe the saath lekin duriyaan baDhti rahin yaa'ni donon sirf apne khvaab hi bunte rahe aasmaan se dastakein aati rahin aati rahin aur zamin vaale jo karte the vahi karte rahe sirf puchhaa thaa udaasi se udaasi kaa sabab aur phir us ke qadam meri taraf baDhte rahe meraa pahlaa pyaar thaa vo aur us ki dil-lagi haadisa thaa ek lekin 'umr bhar sadme rahe nafratein saazish siyaasat aur 'adaavat chaar-su dekh kar duniyaa baDon ki ham sadaa bachte rahe koshishein to sab ne kiin ham ko badalne ki magar ham to ham hain kyon badalte vaise ki vaise rahe is liye vo kar na paayaa phir kisi par e'tibaar jo muhaafiz thaa usi se to sabhi khatre rahe har khushi se munsalik thaa us ke kho jaane kaa Dar haan khushi jab bhi mili khush the magar sahme rahe vo baDe hone ki dhun mein ho gae tahlil yuun jab samaae vo samundar mein kahaan qatre rahe"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta