SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKhwaja Meer Dard(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ishq har-chand miri jaan sadaa khaataa hai par ye lazzat to vo hai ji hi jise paataa hai aah kab tak main bakun teri balaa sunti hai baatein logon ki jo kuchh dil mujhe sunvaataa hai ham-nashin puchh na us shokh ki khubi mujh se kyaa kahun tujh se gharaz ji ko mire bhaataa hai baat kuchh dil ki hamaare to na suljhi ham se aapi khush hove hai phir aap hi ghabraataa hai ji kaDaa kar ke tire kuche se jab jaataa huun dil-e-dushman ye mujhe gher ke phir laataa hai raah peinDe kabhu us shokh ke taiin ham se bhi diid vaa diid to hoti hai jo mil jaataa hai 'dard' ki qadr mire yaar samajhnaa vallaah aisaa aazaad tire daam mein yuun aataa hai"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"baagh-e-jahaan ke gul hain yaa khaar hain to ham hain gar yaar hain to ham hain aghyaar hain to ham hain dariyaa-e-maarifat ke dekhaa to ham hain saahil gar vaar hain to ham hain aur paar hain to ham hain vaabasta hai hamin se gar jabr hai o gar qadr majbur hain to ham hain mukhtaar hain to ham hain teraa hi husn jag mein har-chand maujzan hai tis par bhi tishna-kaam-e-didaar hain to ham hain alfaaz-e-khalq ham bin sab mohmalaat se the maani ki tarah rabt-e-guftaar hain to ham hain auron se to giraani yak-lakht uTh gai hai ai 'dard' apne dil ke gar baar hain to ham hain"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"ham tujh se kis havas ki falak justuju karein dil hi nahin rahaa hai ki kuchh aarzu karein miT jaaein ek aan mein kasrat-numaaiyaan ham aaine ke saamne jab aa ke hu karein tar-daamani pe shaikh hamaari na jaaiyo daaman nichoD dein to farishte vuzu karein sar-taa-qadam zabaan hain juun shama go ki ham par ye kahaan majaal jo kuchh guftugu karein har-chand aaina huun par itnaa huun naa-qubul munh pher le vo jis ke mujhe ru-ba-ru karein ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein hai apni ye salaah ki sab zaahidaan-e-shahr ai 'dard' aa ke baiat-e-dast-e-subu karein"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"mujhe dar se apne tu Taale hai ye bataa mujhe tu kahaan nahin koi aur bhi hai tire sivaa tu agar nahin tu jahaan nahin paDi jis taraf ko nigaah yaan nazar aa gayaa hai khudaa hi vaan ye hain go ki aankhon ki putliyaan mire dil mein jaae butaan nahin mire dil ke shishe ko bevafaa tu ne TukDe TukDe hi kar diyaa mire paas to vahi ek thaa yaan dukaan-e-shisha-garaan nahin mujhe raat saari hi tere haan kaTe kyuun ke rote na shama saan ki ho sake hai kuchh ab bayaan na ye baat hai ki zabaan nahin koi samjhe kyuun ke ye muddaaa ki paheli saa hai ye maajraa kahaa main tujhe nahin chaah kyaa lagaa kahne mujh se ki haan nahin na milaa hamein koi nukta-daan ye bipat sunaa dein bhalaa kahaan na huaa sabhon pe vahi ayaan jo kasu se yaan to nihaan nahin tujhe dard kyuun ki sunaaun main na khudaa kisi ko dikhaae ye jo kuchh apne ji pe guzarti hai kahun kyaa ki us kaa bayaan nahin"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"qatl-e-aashiq kisi maashuq se kuchh duur na thaa par tire ahd se aage to ye dastur na thaa raat majlis mein tire husn ke shoale ke huzur shama ke munh pe jo dekhaa to kahin nuur na thaa zikr meraa hi vo kartaa thaa sarihan lekin main ne puchhaa to kahaa khair ye mazkur na thaa baavajude ki par-o-baal na the aadam ke vahaan pahunchaa ki farishte kaa bhi maqdur na thaa parvarish gham ki tire yaan taiin to ki dekhaa koi bhi daagh thaa siine mein ki naasur na thaa mohtasib aaj to mai-khaane mein tere haathon dil na thaa koi ki shishe ki tarah chuur na thaa 'dard' ke milne se ai yaar buraa kyuun maanaa us ko kuchh aur sivaa diid ke manzur na thaa"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"tujhi ko jo yaan jalva-farmaa na dekhaa baraabar hai duniyaa ko dekhaa na dekhaa miraa ghuncha-e-dil hai vo dil girafta ki jis ko kisu ne kabhu vaa na dekhaa yagaana hai tu aah begaanagi mein koi dusraa aur aisaa na dekhaa aziyyat musibat malaamat balaaein tire ishq mein ham ne kyaa kyaa na dekhaa kiyaa muj ko daaghon ne sarv-e-charaaghaan kabhu tu ne aa kar tamaashaa na dekhaa taghaaful ne tere ye kuchh din dikhaae idhar tu ne lekin na dekhaa na dekhaa hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hi ham khuli aankh jab koi pardaa na dekhaa shab o roz ai 'dard' dar pe huun us ke kisu ne jise yaan na samjhaa na dekhaa"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"un ne kiyaa thaa yaad mujhe bhuul kar kahin paataa nahin huun tab se main apni khabar kahin aa jaae aise jiine se apnaa to ji ba-tang jiitaa rahegaa kab talak ai khizr mar kahin phirti rahi taDapti hi aalam mein jaa-ba-jaa dekhaa na meri aah ne ru-e-asar kahin muddat talak jahaan mein hanste phiraa kiye ji mein hai khuub roiye ab baiTh kar kahin yuun to nazar paDe hain dil-afgaar aur bhi dil riish koi aap saa dekhaa na par kahin zaalim jafaa jo chaahe so kar mujh pe tu vale pachhtaave phir to aap hi aisaa na kar kahin phirte to ho banaae saj apni jidhar tidhar lag jaave dekhiyo na kasu ki nazar kahin puchhaa main dard se ki bataa tu sahi mujhe ai khaanumaan-kharaab hai tere bhi ghar kahin kahne lagaa makaan-e-muayyan faqir ko laazim hai kyaa ki ek hi jaagah ho har kahin darvesh har kujaa ki shab aamad saraa-e-ust tu ne sunaa nahin hai ye misraa magar kahin"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"rabt hai naaz-e-butaan ko to miri jaan ke saath ji hai vaabasta miraa un ki har ik aan ke saath apne haathon ke bhi main zor kaa divaana huun raat din kushti hi rahti hai garebaan ke saath jo jafaa-ju hain unhein sang-dili laazim hai kaam talvaar ko rahtaa hai sadaa saan ke saath gar masihaa-nafasi hai yahi mutrib to khair ji hi jaate hain chale teri har ik taan ke saath 'dard' har-chand main zaahir mein to huun mor-e-zaif zor nisbat hai vale mujh ko 'sulaimaan' ke saath"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"chaman mein subh ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam bahaar-e-baagh go yuun hi rahi lekin kidhar shabnam araq ki buund us ki zulf se rukhsaar par Tapki taajjub ki hai jaagah ye paDi khurshid par shabnam hamein to baagh tujh bin khaana-e-maatam nazar aayaa idhar gul phaaDte the jaib roti thi udhar shabnam kare hai kuchh se kuchh taasir-e-sohbat saaf tabaon ki hui aatish se gul ki baiThte rashk-e-sharar shabnam bhalaa Tuk subh hone do ise bhi dekh leveinge kisi aashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam nahin asbaab kuchh laazim subuksaaron ke uThne ko gai uD dekhte apne baghair-az-baal-o-par shabnam na paayaa jo gayaa is baagh se hargiz suraagh us kaa na palTi phir sabaa idhar na phir aai nazar shabnam na samjhaa 'dard' ham ne bhed yaan ki shaadi o gham kaa sahar khandaan hai kyuun roti hai kis ko yaad kar shabnam"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"ham ne kis raat naala sar na kiyaa par use aah kuchh asar na kiyaa sab ke haan tum hue karam-farmaa is taraf ko kabhu guzar na kiyaa kyuun bhavein taante ho banda-navaaz siina kis vaqt main sipar na kiyaa kitne bandon ko jaan se khoyaa kuchh khudaa kaa bhi tu ne Dar na kiyaa dekhne ko rahe taraste ham na kiyaa rahm tu ne par na kiyaa aap se ham guzar gae kab ke kyaa hai zaahir mein go safar na kiyaa kaun saa dil hai vo ki jis mein aah khaana-aabaad tu ne ghar na kiyaa tujh se zaalim ke saamne aayaa jaan kaa main ne kuchh khatar na kiyaa sab ke jauhar nazar mein aae 'dard' be-hunar tu ne kuchh hunar na kiyaa"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"tohmat-e-chand apne zimme dhar chale jis liye aae the so ham kar chale zindagi hai yaa koi tufaan hai ham to is jiine ke haathon mar chale kyaa hamein kaam in gulon se ai sabaa ek dam aae idhar udhar chale dosto dekhaa tamaashaa yaan kaa sab tum raho khush ham to apne ghar chale aah bas mat ji jalaa tab jaaniye jab koi afsun tiraa us par chale ek main dil-resh huun vaisaa hi dost zakhm kitnon ke sunaa hai bhar chale sham' ke maanind ham is bazm mein chashm-tar aae the daaman-e-tar chale DhunDhte hain aap se us ko pare shaikh saahab chhoD ghar baahar chale ham na jaane paae baahar aap se vo hi aaDe aa gayaa jidhar chale ham jahaan mein aae the tanhaa vale saath apne ab use le kar chale juun sharar ai hasti-e-be-bud yaan baare ham bhi apni baari bhar chale saaqiyaa yaan lag rahaa hai chal-chalaav jab talak bas chal sake saaghar chale 'dard' kuchh maa'lum hai ye log sab kis taraf se aae the kidhar chale"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"arz-o-samaa kahaan tiri vusat ko paa sake meraa hi dil hai vo ki jahaan tu samaa sake vahdat mein teri harf dui kaa na aa sake aaina kyaa majaal tujhe munh dikhaa sake main vo fataada huun ki baghair-az-fanaa mujhe naqsh-e-qadam ki tarah na koi uThaa sake qaasid nahin ye kaam tiraa apni raah le us kaa payaam dil ke sivaa kaun laa sake ghaafil khudaa ki yaad pe mat bhuul zinhaar apne taiin bhulaa de agar tu bhulaa sake yaa-rab ye kyaa tilism hai idraak-o-fahm yaan dauDe hazaar aap se baahar na jaa sake go bahs kar ke baat biThaai bhi kyaa husul dil se uThaa ghilaaf agar tu uThaa sake itfaa-e-naar-e-ishq na ho aab-e-ashk se ye aag vo nahin jise paani bujhaa sake mast-e-sharaab-e-ishq vo be-khud hai jis ko hashr ai 'dard' chaahe laae ba-khud par na laa sake"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"mizhgaan-e-tar huun yaa rag-e-taak-e-burida huun jo kuchh ki huun so huun gharaz aafat-rasida huun khinche hai duur aap ko meri farotani uftaada huun pa saaya-e-qadd-e-kashida huun har shaam misl-e-shaam huun main tira-rozgaar har subh misl-e-subh garebaan-darida huun karti hai bu-e-gul tu mire saath ikhtilaat par aah main to mauj-e-nasim-e-dazida huun tu chaahti hai to tapish-e-dil ki baad-e-marg kunj-e-mazaar mein bhi na main aarmida huun ai 'dard' jaa chukaa hai miraa kaam zabt se main gham-zada to qatra-e-ashk-e-chakida huun"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"jag mein koi na Tuk hansaa hogaa ki na hanste mein ro diyaa hogaa un ne qasdan bhi mere naale ko na sunaa hogaa gar sunaa hogaa dekhiye ab ke gham se ji meraa na bachegaa bachegaa kyaa hogaa dil zamaane ke haath se saalim koi hogaa jo rah gayaa hogaa haal mujh gham-zada kaa jis tis ne jab sunaa hogaa ro diyaa hogaa dil ke phir zakhm taaza hote hain kahin ghuncha koi khilaa hogaa yak-ba-yak naam le uThaa meraa ji mein kyaa us ke aa gayaa hogaa mere naalon pe koi duniyaa mein bin kiye aah kam rahaa hogaa lekin us ko asar khudaa jaane na huaa hogaa yaa huaa hogaa qatl se mere vo jo baaz rahaa kisi bad-khvaah ne kahaa hogaa dil bhi ai 'dard' qatra-e-khun thaa aansuon mein kahin giraa hogaa"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"madrasa yaa dair thaa yaa kaaba yaa but-khaana thaa ham sabhi mehmaan the vaan tu hi saahab-khaana thaa vaae naadaani ki vaqt-e-marg ye saabit huaa khvaab thaa jo kuchh ki dekhaa jo sunaa afsaana thaa haif! kahte hain huaa gulzaar taaraaj-e-khizaan aashnaa apnaa bhi vaan ik sabza-e-begaana thaa ho gayaa mehmaan-saraa-e-kasrat-e-mauhum aah vo dil-e-khaali ki teraa khaas khalvat-khaana thaa bhuul jaa khush rah abas ve saabiaqe mat yaad kar 'dard'! ye mazkur kyaa hai aashnaa thaa yaa na thaa"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"samajhnaa fahm gar kuchh hai tabii se ilaahi ko shahaadat ghaib ki khaatir to haazir hai gavaahi ko nahin mumkin ki ham se zulmat-e-imkaan zaail ho chhuDaa de aah koi kyuun ke zangi se siyaahi ko ajab aalam hai idhar se hamein hasti sataati hai udhar se nisti aati hai dauDi uzr-khvaahi ko na rah jaave kahin tu zaahidaa mahrum rahmat se gunahgaaron mein samjhaa kariyo apni be-gunaahi ko na laazim nisti us ko na hasti hi zaruri hai bayaan kyaa kijiye ai 'dard' mumkin ki nanaahi ko"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"milaaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairaan ko ayaan jab har jagah dekhun usi ke naaz-e-pinhaan ko tujhe ai shama kyaa dekhein zamaane ko dikhaanaa hai hamein juun kaaghaz-e-aatish-zada aur hi charaaghaan ko na tanhaa kuchh yahi atfaal dushman hain divaanon ke bhare hai koh bhi dekhaa to yaan pattharon se daamaan ko jhamakte hain sitaaron ki tarah suraakh hasti ke chhupaayaa go ki juun khurshid mein daagh-e-numaayaan ko na vaajib hi kahaa jaave na saadiq mumtanaa us par kiyaa tashkhis kuchh ham ne na hargiz shakhs-e-imkaan ko"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard