SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAdil Hayat(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"koi to aa ke mire dar ko khaTkhaTaae bhi andheri raat mein jugnu saa jagmagaae bhi gumaan ke pinjre mein kab se koi parinda hai kabhi to khole paron ko ki phaDphaDaae bhi anaa ki dhuup mein gum-sum khaDaa hai kaun yahaan main chhaanv huun mujhe dekhe vo muskuraae bhi vo meri saans kaa jaise aTuuT hissa hai agar hai us ko bhi ehsaas to jataae bhi dhuaan dhuaan saa jo manzar dikhaai detaa hai kabhi to dil mein vo chehra saa jhilmilaae bhi main aaina to nahin huun qubul hai lekin kami hai kyaa mire andar koi bataae bhi tamaam umr hi hanstaa rahaa huun main 'aadil' kabhi to nam hon ye aankhein koi rulaae bhi"
Adil HayatAdil Hayat
Quote
"aastinon mein koi khanjar nahin amn kaa phir bhi yahaan manzar nahin apne virse ki sadaaqat chaahiye khuun mein Duubaa huaa manzar nahin zindagi main ne guzaari hai jahaan bhed ab jaa kar khulaa vo ghar nahin dushman-e-jaan hai to bas meri anaa dushmanaan-e-vaqt kaa lashkar nahin gar yaqin ki mashalein haathon mein hon raat ki taarikiyon se Dar nahin dosti mein hijr to manzur hai dosti ke naam par khanjar nahin log gunge ho gae 'aadil-hayaat' ruuh jaise jism ke andar nahin"
Adil HayatAdil Hayat
Quote
"zamin par hashr kuchh aisaa bapaa hai har insaan apne andar chhup gayaa hai fazaaon mein har ik su raushni hai na jaane aaj kis kaa ghar jalaa hai use koshish mein paDhne ki lagaa huun varaq jo mere dil ne likh diyaa hai nazar aati nahin hai shakl koi bas ik saayaa khalaa mein chal rahaa hai diye hain apne-pan ne zakhm itne koi hans kar mile dil kaanptaa hai vahi ik yaad jo dil mein basi thi vahi to ab mire dil ki davaa hai khalish taDpaa rahi thi kab se 'aadil' nishaan-e-zakhm ab jaa kar milaa hai"
Adil HayatAdil Hayat
Quote
"nahin koi khabar karnaa nahin hai hamein kuchh bhi asar karnaa nahin hai bahut hi khubsurat zindagi hai magar aasaan basar karnaa nahin hai havaa ko raasta gar mil bhi jaae charaaghon par asar karnaa nahin hai gharaunde hi mein apne lauT jaaun ki khud ko dar-ba-dar karnaa nahin hai hazaaron raaste to muntazir hain takhayyul mein safar karnaa nahin hai lubhaate hain nae paude hamein bhi magar sab ko shajar karnaa nahin hai hain ab bhi ishq ki baatein gavaara lahu dil ko magar karnaa nahin hai agar hai zindagi se pyaar 'aadil' muhim koi bhi sar karnaa nahin hai"
Adil HayatAdil Hayat
Quote
"khaamosh jhiil mein koi kankar giraa nahin lahron kaa zindagi mein miri silsila nahin baadal ki tarah aankhein barasti rahin magar shaadaab phir bhi barg-e-mohabbat huaa nahin makDi ne us ki aankhon pe jaale lagaa diye muddat se intizaar kaa uqda khulaa nahin raushan hui hayaat kisi ke khayaal se yuun to charaagh ghar mein hamaare jalaa nahin maazi bhi mahv-e-khvaab huaa kab kaa dosto mustaqbil-e-qarib kaa bhi dar khulaa nahin ye mausam-e-umid bhi kab kaa guzar gayaa 'aadil' shajar pe aas kaa ik phal lagaa nahin"
Adil HayatAdil Hayat
Quote
"bas ik titli uDaanaa chaahtaa huun fazaaon mein Thikaanaa chaahtaa huun tiri aankhon mein aansu hain to honge tujhe main kyaa hansaanaa chaahtaa huun agar baazaar hai duniyaa to is se main rishta taajiraana chaahtaa huun main apni aankh ki khaali jagah mein nai basti basaanaa chaahtaa huun ye kaisi raushni ki aarzu hai main kis kaa ghar jalaanaa chaahtaa huun safar kaa silsila yunhi nahin hai koi behtar Thikaanaa chaahtaa huun jale hi jaa rahaa hai kab se 'aadil' charaagh-e-dil bujhaanaa chaahtaa huun"
Adil HayatAdil Hayat
Quote
"har ik javaab ki tah mein savaal aaegaa gae yugon ke buton kaa zavaal aaegaa hunar kaa 'aks bhi ho aaina bhi ban jaao phir us ke baa'd hi rang-e-kamaal aaegaa harif-e-jaan hai agar vo to phir kaho us se gai jo jaan to dil kaa savaal aaegaa yaqin hai ki milegaa 'uruj ham ko bhi yaqin hai ki tiraa bhi zavaal aaegaa abhi umiid ko maayusiyon kaa rang na de Thahar Thahar abhi us kaa khayaal aaegaa usi ke shah pe bujhegaa charaagh-e-dil 'aadil' nihaan khulus mein jo ishti'aal aaegaa"
Adil HayatAdil Hayat
Quote
"har ik javaab ki tah mein savaal aaegaa gae yugon ke buton kaa zavaal aaegaa hunar kaa aks bhi ho aaina bhi ban jaao phir is ke baad hi rang-e-kamaal aaegaa harif-e-jaan hai agar vo to phir kaho us se gai jo jaan to dil kaa savaal aaegaa yaqin hai ki milegaa uruuj ham ko bhi yaqin hai ki tiraa bhi zavaal aaegaa abhi umiid ko maayusiyon kaa rang na de Thahar Thahar abhi is kaa khayaal aaegaa usi ki shah pe bujhegaa charaagh-e-dil 'aadil' nihaan khulus mein jo ishtiaal aaegaa"
Adil HayatAdil Hayat
Quote
"tanhaa hain anjuman mein bhi aisaa lagaa hamein chaaron taraf udaas saa manzar lagaa hamein aate dinon mein jis kaa havaala na ban sakein maazi ke us frame se baahar lagaa hamein dekhaa hisaar-e-zaat se baahar nikal ke jab ik daaera saa zehn ke andar lagaa hamein jab aaine se gard kaa parda utar gayaa apni hi zindagi se bahut Dar lagaa hamein jis ki talaash mein kai sadiyaan guzar gaiin jhaankaa jo dil mein apne to andar lagaa hamein ham bhi takhayyulaat ki duniyaa mein ghuum lein maulaa bas ek din ke liye par lagaa hamein"
Adil HayatAdil Hayat
Quote
"aane vaalaa hai koi mehmaan kyaa ho gae sab marhale aasaan kyaa vaqt ki raftaar kaise tham gai ho gayaa hai har-nafas be-jaan kyaa TuTnaa jaDnaa to hai ik silsila ho rahe ho is qadar hairaan kyaa zindagi se rishta apnaa toD kar jaa rahe ho jab to ye saamaan kyaa dhuup ke saae mein chup saadhe hue kar rahe ho amn kaa elaan kyaa khvaahishon ke sab parinde uD gae ho gai hai zindagi viraan kyaa sochtaa rahtaa huun 'aadil' raat-din main hi kyaa huun aur miri pahchaan kyaa"
Adil HayatAdil Hayat