SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"zinhaar himmat apne se hargiz na haariye shishe mein us pari ko na jab tak utaariye auzaa'a DhunDh-DhaaD ke yaaron se sikhiye hote nahin jahaan mein ham se niyaariye ai ashk-e-garm kar mire dil kaa ilaaj kuchh mashhur hai ki choT ko paani se dhaariye jo ahl-e-faqr-o-shaah khumhaare ke hain murid paale hain in sabhon ne kabutar kumhaariye galne ki daal yaan nahin bas khushka khaaiye ai shaikh saahab aap na shekhi baghaariye kal jin ko khire kakDi kyaa kos kaaT kar aaj us pari ne in ko diye narm aariye ho aab mein kadar to Thahar jaaiye Tuk ek dil mein kudurat aave to kyunkar nithaariye hai kaun si ye vaza bhalaa sochiye to aap baatein udhar ko kiije idhar aankh maariye puchhe haqiqat ek ne jo amn-e-raah ki to bole sar jhukaa ke bachaa vo madaariye khatra na aap kiije bas ab khair shauq se sonaa uchhaalte hue ghar ko sidhaariye hai jo buland-hausla un ki ye chaal hai kyaa phir unhein bigaaDiye jin ko sanvaariye panDit ji ham mein un mein bhalaa kaise hone ke pothi ko apne kholiye kuchh to bichaariye 'inshaa' koi javaab bhi denaa nahin hamein baang-e-jaras ki tarah kahaan tak pukaariye"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"khol aaghosh na tu mujh se rukaavaT se lipaT ab jo lipTaa hai to aa pyaar ki karvaT se lipaT us ne sar apnaa dhunaa dekh shigaaf-e-dar se kar ke ghash rah gae ham us ki jo chaukhaT se lipaT dhuum ye baada-kashon ki hai ki mai-khaane mein mast jaate hain suraahi ki ghaTaa-ghat se lipaT jon gali mein mujhe aate hue dekhaa to vo shokh apni chaukhaT se uchak jhaT se gayaa paT se lipaT shaikh se iid ko kyuun aap ham-aaghosh hue goyaa jaataa hai bhalaa aise bhi khōsaT se lipaT jis ko kahte hain taraaqi ki phaban so zaalim rah gai hai tiri choli ki phansaavat se lipaT piis Daal aaj tu mere bhi phaphule dil ke aa na aa mujh se Tuk aisi hi sajaavaT se lipaT dham se ham dono gire farsh pe hain ruup ki raat rah gayaa un kaa dupaTTa bhi chhapar-khaT se lipaT choT khaa kar lagi kahne ki agar aisaa hai hai galaa khelnaa tujh ko to kisi naT se lipaT raad ke saath hai 'inshaa' mire naale kaa vo ruup jaise guTh jaati hain sum duun mein tirvaT se lipaT"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"lab pe aai hui ye jaan phire yaar gar is taraf ko aan phire chain kyaa ho hamein jab aaTh pahar apne aankhon mein vo javaan phire khun-e-aashiq chhuTaa ki hai laazim tere talvaar par ye saan phire saaqiyaa aaj jaam-e-sahbaa par kyuun na lahraati apni jaan phire hichkiyaan li hai is tarah bat-e-mai jis tarah gaTkari mein taan phire yaa to vo ahd the ki ham hargiz na phireinge agar jahaan phire aae ab roke ho maaaz-allaah aap se shakhs ki zabaan phire ruuTh kar uTh chale the 'inshaa' se baare phir ho ke mehrbaan phire"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"ik phareri jo tiraa khaak-basar letaa hai thaam jibril-e-amin apnaa jigar letaa hai saath apne koi asbaab-e-safar letaa hai to faqir us ghaDi sar zaanu pe dhar letaa hai chheD-chhaaD apne uDaa kaun sake ai qibla barq se daam koi musht-e-sharar letaa hai dekhiye kyaa ho chale jaao miyaan apni raah kaun yaan ham se gharibon ki khabar letaa hai baaghbaan kaa ye nahin jurm nasib apne ki vo chhaanT kar sab mein pakaD meri kamar letaa hai koi sarkaar junun ki nahin laazim naaeb kaam jitne hain vo sab aap hi kar letaa hai kah liye kyuun na ho sabze ki sukhan meraa siikh daaya-e-abr-e-bahaari ke hunar letaa hai sina-e-nakhl se aati hai ubal duudh ki dhaar khinch is kaa jo koi tifl tabar letaa hai hove parlok udaybhaan to laala-ghanshaam un ke phukne ke liye mol agar letaa hai naunihaalaan-e-chaman ko ho bhalaa kyunkar chain toD gul un ke koi koi samar letaa hai un ki qaazein bhi taraana ye sunaa jaati hain ki tabar letaa tabar letaa tabar letaa hai is zamin mein vo hai ik baagh lagaa ai 'inshaa' jo ki tuubaa ki bhi choTi ko kutar letaa hai"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"vo dekhaa khvaab qaasir jis se hai apni zabaan aur ham ki goyaa ek jaa hai us mein hai vo naujavaan aur ham vo ro ro mujh se kahtaa hai khudaa ki baatein hain varna bhalaa Tuk dil mein apne ghaur kar tu ye makaan aur ham jo puchhaa qais se lailaa ne jangal mein akele ho to bole ai nahin vahshat hai aur aah-o-fughaan aur ham aji gaDbaD rahi hai aql apne sab farishton se paDe phirte hain baaham sair karte qudsiyaan aur ham nashaa hai aalam-e-masti hai be-qaidi hai rindi hai kahaan ab zohd-o-taqvaa hai kharaabaat-e-mughaan aur ham niyaabat ham ko rizvaan ki mili maulaa ke sadqe se vagarna ohda-e-darbaani-e-baagh-e-jinaan aur ham ajab ranginiyaan baaton mein kuchh hoti hain ai 'inshaa' baham ho baiThte hain jab saaadat-yaar-khaan aur ham"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"pakDi kisi se jaave nasim aur sabaa bandhe maulaa kare kuchh apni bhi ab to havaa bandhe 'aashiq ko bogh-band mein baandhaa hai us ne yuun taa ho ke dast-e-buqcha mein jaise qabaa bandhe yuun duud aah kaa miri gumbad bandhaa hai yaan chhat jaise abr-e-tira ki tahtussamaa bandhe Tuk 'aalam ai junun tu dikhaa vo ki jis se saaf laahut kaa samaan miri aankhon mein aa bandhe sarmaa ghulaa ke aankhon mein niklaa na kijiye aisaa na ho ki aap pe kuchh tutiyaa bandhe qudrat khudaa ke dekho ki chori to ham karein aur ulTe dast-gir ho duzd-e-hinaa bandhe aljheDe mein phanse the tiri zulf ke so vo ulTe Tange asiir hue baarhaa bandhe 'inshaa' sad-aafrin tire zehn-e-salim ko mazmun ziyaada is se bhalaa aur kyaa bandhe"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"miyaan chashm-e-jaadu pe itnaa ghamanD khat-o-khaal-o-gesu pe itnaa ghamanD aji sar uThaa kar idhar dekhnaa isi chashm-o-abru pe itnaa ghamanD nasim-e-gul us zulf mein ho to aa na kar apni khushbu pa itnaa ghamanD shab-e-mah mein kahtaa hai vo maah se rakaabi se is ru pe itnaa ghamanD bas ai shama kar fikr apni zaraa inhi chaar aansu pe itnaa ghamanD akaDtaa hai kyaa dekh dekh aaina hasin garche hai tu pe itnaa ghamanD vo kar panja 'inshaa' se bole ki vaah isi zor-e-baazu pe itnaa ghamanD"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"tafazzulaat nahin lutf ki nigaah nahin muaamla abhi mutlaq vo ru-ba-raah nahin ghalat hai aah ki hai dil ko dil se raah nahin ki teri chaah mujhe tujh ko meri chaah nahin ghulaam ham to hain aise mizaaj vaalon ke kisi ke saath kisi Dhab ki jin ko raah nahin hamaari chori jo saabit hui dalil bhi kuchh muqir nahin koi shaahid nahin gavaah nahin tavaazo aap ki ham kyaa karein bhalaa saahib ba-qaul shakhse is apne jigar mein aah nahin rukhaaiyaan jo yahi hain to is tarah apnaa nahin nahin nahin hargiz nahin nibaah nahin haram se dair mein yaan aab-o-daana le aayaa ba-rabb-e-kaaba miraa is mein kuchh gunaah nahin na kuchh jihat na sabab qaah-qaah hanste ho tumhaari khush mujhe aati ye qaah-qaah nahin kahun ba-qaid-e-qasam laa-ilaaha il-lallaah ki taab-e-hijr bas ab mujh mein ai ilaah nahin"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"kyaa bhalaa shaikh-ji the dair mein thoDe patthar ki chale kaaba ke tum dekhne roDe patthar ai basaa kohna imaaraat-e-maqaabir jin ke logon ne chob-o-chagal ke liye toDe patthar jaao ai shaikh o barahman haram-o-dair ko tum bhaai bezaar hain ham ham ne ye chhoDe patthar kabhi dil-haa-e-butaan tujh se pasijein ai ashk to ye ham jaanein ki bas tu ne nichoDe patthar na chire nok se nashtar ke ayaazam-billaah koi ushshaaq ke the chhaati ke phoDe patthar kos baiThein fuqaraa ahl-e-duval ko to abhi un ke haathi hon pahaaD aur ye ghoDe patthar gar sag-e-gursina le shuum ke matbakh ki baas to bhalaa haDDi ki jaa kyaa vo bhanboDe patthar na hinsaa main jo hansaane se shab un ki to kahaa tujhe qurbaan karun haae nigoDe patthar ek ghazal aur sunaa de hamein 'inshaa' har-chand tu ne is mein bhi kisi Dhab ke na chhoDe patthar"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"Tuk ik ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharaab hai vo jo husn-e-aalam-e-nashsha hai use ab ki ain-shabaab hai vo ghaTaaein chhaain jo kaaliyaan jo hari-bhari huiin Daaliyaan ubhar aaiin phulon ki laaliyaan to bajaae aab-e-shahaab hai ye do-roza nashv-o-numaa ko tu na samajh ki naqsh-e-pur-aab se ye saraab hai ye habaab hai faqat ek qissa-e-khvaab hai araq-e-bahaar-e-sharaab hai vo hi aaj chhiDkeinge aap par na to bed-e-mushk hai is ghaDi na to kevDaa na gulaab hai unhein kahne sunne se bair hai jo khud aaein so to ba-khair hai ye gharaz ki zor hi sair hai na savaal hai na javaab hai kidhar aauun jaaun karun so kyaa miraa ji hi naak mein aa gayaa na to arz-e-haal ki taab hai na to sabr-e-khaana-kharaab hai mujhe vahsh-o-tair se rashk hai ki kabhi unhon ko kisi namat na savaal hai na javaab hai na azaab hai na iqaab hai miri baat maan sunaa dilaa na to arz o farz pe ji chalaa koi un ko Toke so kyaa bhalaa ki vo aali un ki janaab hai are 'inshaa' ab jo ye daur hai tiri vaza in dinon aur hai ye bhi koi ziist kaa taur hai na sharaab hai na kabaab hai"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"laahut par na dekhein jo qudsiyaan tamaashaa so ham ko hai dikhaataa ishq-e-butaan tamaashaa Tuk kiije chashm-e-dil se yaan sair mai-kade ki haigaa ajab maze kaa pir-e-mughaan tamaashaa jis ne sune ye mere ashaar khush ho bolaa naam-e-khudaa hai to kuchh ai naujavaan tamaashaa allaah ri fasaahat allaah ri balaaghat aisaa kahaan jhamakDaa aisaa kahaan tamaashaa shokhi adaa so aisi josh-o-kharosh itnaa bandish dhuaan so ye aur tarz-e-bayaan tamaashaa divaan sainkaDon hain ham ne to dekhe lekin in mein nazar paDaa kab paayaa jo yaan tamaashaa kyaa khuub vaah maashaa-allaah hai ajab kuchh divaan-e-mir inshaa-'allaah' khaan tamaashaa"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"vo pari hi nahin kuchh ho ke kaDi mujh se laDi aankh nargis se bhi do-chaar ghaDi mujh se laDi vaaste tere miraa rang-mahal hai dushman teri khaatir to har ik chhoTi baDi mujh se laDi jhaD lagaa di miri aankhon ne to lo aur suno TukTuki baandh ke kyuun munh ki jhaDi mujh se laDi raat laD-bhiD vo jo chup ho rahi to un ke 'evaz bolte the vo jo sone ki ghaDi mujh se laDi baiThe baiThe kahin bulbul ko jo chheDaa main ne to nasim us ki badal ho ke khaDi mujh se laDi kaun si huur yahaan khelne chauthi aai bu-e-gul le ke jo phulon ki chhaDi mujh se laDi ruuTh kar un ki gali mein jo lagaa tu 'inshaa' har ik us do laDi moti ki laDi mujh se laDi"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"jaaDe mein kyaa maza ho vo to simaT rahe hon aur khol kar razaai ham bhi lipaT rahe hon ab aap ki damon mein ham aa chuke haTo bhi khush aave pyaare kis ko jab dil hi kaT rahe hon kyunkar zabaan se un ki apnaa bachaav hove zaat-o-sifaat sab ke jab vo ukaT rahe hon aate the saath mere dekho to kyaa hue vo aisaa na ho ki pichhe rishte mein kaT rahe hon tab sair dekhe koi baaham laDaaiyon ke khinche hon vo to teghaa aur ham bhi DaT rahe hon kyaa kar sakein divaane haal-e-dil-e-pareshaan zulfon ke baal un ke jab aap laT rahe hon aapas mein ruThne kaa andaaz ho to ye ho vo ham se phaT rahe hon ham un se phaT rahe hon ji chaahtaa hai ai dil ik aisi raat aave matla ho saaf shahraa baadal bhi phaT rahe hon sote hon chaandni mein vo munh lapeTe aur ham shabnam kaa vo dupaTTa paTThe ulaT rahe hon panjam ghazal ab 'inshaa' andaaz ki sunaa di aaghosh mein maaani jis ke lipaT rahe hon"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"hai jis mein qufl-e-khaana-e-khummaar toDiye yaani dar-e-bahisht ko yakbaar toDiye kyuun qaid-e-khum mein dukhtar-e-raz hi paDi rahe ye mohr-e-resmaan-e-sarokaar toDiye shaagird amir-hamza-e-saahib-qiraan ke hain kyunkar bhalaa na qila-e-ashraar toDiye kiije laqaa-e-baakhtar-e-be-baqaa ko qaid najtak ke sar pe gurz-e-garaan-baar toDiye choTi pakaD ke nargis-e-jaadu ki khinchiye kalle ko us ke maariye lalkaar toDiye rustam se chhin lijiye dev-e-safed ko aur is ki dah maroD ke talvaar toDiye sadd-e-sikandari bhi jo chaDh jaae dhyaan to vohin tufail-e-haidar-e-karraar toDiye aa jaavein haft-khvaan-e-tilismaat saamne to khair se unhein bhi ba-takraar toDiye hisn-e-zamurradain-e-adu koh-e-qaaf par hove to us ko bhej ke ayyaar toDiye zambil hai amar ki dil-e-fikr-khez ye is ko kisi tarah se na zinhaar toDiye hai azm-jazm ye ki zabardasti aaj to band-e-qabaa hai mausam-e-gulzaar toDiye yaa chheDne ko abr ke ik jhaTkaa maar kar shalvaar-band barq-e-sharar-baar toDiye ji chaahtaa hai le ke balaaein tumhaari aaj porein in ungliyon ko sab ai yaar toDiye 'inshaa' dikhaa ke aur bhi ik jalva-e-ghazal band-e-naqaab-e-shaahid-e-asraar toDiye"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"sad-barg gah dikhaai hai gah arghavaan basant laai hai ek taaza shagufa yahaan basant bhar bhar ke gulistaan mein mai-e-aish-o-jashn se deti hai har ghaDi mujhe ritl-e-garaan basant tu uTh chalaa to zard hue sab ke rang-e-ru kal aa gai bahaar mein ye naa-gahaan basant aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf hai ab ke saal aisi hai ai dostaan basant shaadaabi-e-nasim se bahr-e-surur ko karti hai josh maar ke ab be-karaan basant gar fil-masal malaaika hon ahl-e-zohd sab le aave bahr-e-sair unhein mu-kashaan basant patte nahin chaman mein khaDakte tire baghair karti hai is libaas mein har-dam fughaan basant gar shaakh-e-zaafaraan use kahiye to hai ravaa hai farah-bakhsh vaaqai is had kohaan basant gurvaa banaa ke rish-e-mokhazzab se mohtasib jaataa hai us maqaam mein jaave jahaan basant 'inshaa' se shaikh puchhtaa hai kyaa salaah hai targhib-e-baada di hai mujhe ai javaan basant"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"ye jo mujh se aur junun se yaan baDi jang hoti hai der se so kuchh aisi Dhab se laDaai hai laDe sher jaise ki Sher se bani shakl lailaa-e-nau-javaan mire daataa kyaa kahun al-amaan vo tajalli ek jo hui 'ayaan kisi raat qais ke Dher se abhi do mahine se huun judaa na to khvaab mein bhi nazar paDaa bhalaa aur andher ziyaada kyaa kahin hogaa aise andher se mujhe shaamiyaana tale se kyaa miraa dil to kahtaa hai mujh se aa sar-e-raah koThe pe baiTh jaa yahin takiya de ke munDer se tiri baadle ki ye oDhni are barq kaunde nazar mein tab kare ye ghaTaa jo muqaabla kisi peshvaaz ke gher se nahin intizaar ke hausle mujhe sujhe saikDon artale qasam un ne khaai to hai vale miraa ji Dare hai adher se bhalaa mujh se dev ke saamne koi Thonk sakte hain kham bhalaa are ye anguThe se aadmi to bichaare khud hain baTer se vahi pi kahaan vahi pi kahaan yahi ek raT si jo hai so hai mahaaraaj choT si lagti hai mujhe is papihe ki Ter se ghazal 'inshaa' aur bhi ek likh isi bahr aur radif ki ki zabar ki qaafiye jis mein hon mujhe nafrat aa gai zer se"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"tu ne lagaai ab ki ye kyaa aag ai basant jis se ki dil ki aag uThe jaag ai basant kaifiyyat-e-bahaar ke tu us ko de khabar mauj-e-nasim ki tarah uD laag ai basant har shaakh zard o surkh o siyah hijr-e-yaar mein Daste hain dil ko aan ke juun naag ai basant munh dekho aashiqon ke muqaabil huun rang mein baandhi hai mujh se kis liye tu laag ai basant tujh mein kahaan ye buqalamuni kahaan ye sang dasht-o-jabal ko khair se ab bhaag ai basant juun taar-e-chang chheD na 'inshaa' ko baat mein teraa sunaa huaa hai ye ghaTraag ai basant"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"ye nigah ye munh ye rangat ye misi ye laal-e-khandaan ghazab aur tis pe lenaa ye zabaan ba-zer-e-dandaan sitam aur naaz khush hai sanamaa vale na-chandaan ki pare falak se guzri ye sadaa-e-dard-mandaan ye namak ye chhap ye saj-dhaj ye adaa ko dekh teri ba-talaatum-e-tahayyur hue gharq hosh-mandaan vo latifaa-goi us ki vo fasaahat aur balaaghat nahin is qadar ki bole koi shaair-o-sukhandaan falak-ul-buruj par se kahein sab malaaek aamin na asar ho kis tarah se ba-duaa-e-mustamindaan ye nasib apne dekho ki samajh ke said-e-laaghar udhar aan bhi na phaTke kabhi aah said-bandaan but-e-sang-dil khudaa kaa tujhe tars ho jo kuchh bhi tu shikasta dil ko mat kar ki ye shisha hai na sandaan ba-kamaal-e-fazl-o-daanish ye baiid hai ki 'inshaa' ghalati pe tu musir ho ba-misaal-e-khud-pasandaan"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha