Quote
"hone kaa e'tibaar nahin kar rahe hain log ab khud ko ikhtiyaar nahin kar rahe hain log ab ishq aur dasht khasaare mein hain miyaan ab dil kaa kaarobaar nahin kar rahe hain log tayyaar hai tamaashaa dikhaane ko ek shakhs maahaul saazgaar nahin kar rahe hain log ab hai nizaam-e-ishq mein tarmim kaa chalan taaron kaa bhi shumaar nahin kar rahe hain log hairaan huun ki itni riyaazat ke baavajud kyuun vaqt ko ghubaar nahin kar rahe hain log khush huun ki aasmaan se hai qaaem zamin kaa rabt dukh hai ki paaedaar nahin kar rahe hain log shaayad ki meri maut kaa elaan ho chukaa ab mujh pe koi vaar nahin kar rahe hain log aage ki dauD mein hue mahdud is tarah maazi pe eqtidaar nahin kar rahe hain log ai yaar apne husn pe kuchh khaak Daal de ab ishq ikhtiyaar nahin kar rahe hain log ab nisf shab nikalte hain be-khauf kaam par suraj kaa intizaar nahin kar rahe hain log"







