SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMohsin Naqvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab hijr ke shahr mein dhuup utri main jaag paDaa to khvaab huaa miri soch khizaan ki shaakh bani tiraa chehra aur gulaab huaa barfili rut ki tez havaa kyuun jhiil mein kankar pheink gai ik aankh ki niind haraam hui ik chaand kaa aks kharaab huaa tire hijr mein zehn pighaltaa thaa tire qurb mein aankhein jalti hain tujhe khonaa ek qayaamat thaa tiraa milnaa aur azaab huaa bhare shahr mein ek hi chehra thaa jise aaj bhi galiyaan DhunDti hain kisi subh usi ki dhuup khili kisi raat vahi mahtaab huaa baDi umr ke baa'd in aankhon mein koi abr utraa tiri yaadon kaa mire dil ki zamin aabaad hui mire gham kaa nagar shaadaab huaa kabhi vasl mein 'mohsin' dil TuuTaa kabhi hijr ki rut ne laaj rakhi kisi jism mein aankhein kho baiThe koi chehra khuli kitaab huaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"ba-naam-e-taaqat koi ishaara nahin chalegaa udaas naslon pe ab ijaara nahin chalegaa ham apni dharti se apni har samt khud talaashein hamaari khaatir koi sitaara nahin chalegaa hayaat ab shaam-e-gham ki tashbih khud banegi tumhaari zulfon kaa istiaara nahin chalegaa chalo saron kaa khiraaj nok-e-sinaan ko bakhshein ki jaan bachaane kaa istikhaara nahin chalegaa hamaare jazbe baghaavaton ko taraashte hain hamaare jazbon pe bas tumhaaraa nahin chalegaa azal se qaaem hain donon apni zidon pe 'mohsin' chalegaa paani magar kinaara nahin chalegaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"na samaa'aton mein tapish ghule na nazar ko vaqf-e-azaab kar jo sunaai de use chup sikhaa jo dikhaai de use khvaab kar abhi muntashir na ho ajnabi na visaal-rut ke karam jataa jo tiri talaash mein gum hue kabhi un dinon kaa hisaab kar mire sabr par koi ajr kyaa miri dopahar pe ye abr kyon mujhe oDhne de aziyyatein miri 'aadatein na kharaab kar kahin aablon ke bhanvar bajein kahin dhup-rup badan sajein kabhi dil ko thal kaa mizaaj de kabhi chashm-e-tar ko chanaab kar ye hujum-e-shahr-e-sitam-garaan na sunegaa teri sadaa kabhi miri hasraton ko sukhan sunaa miri khvaahishon se khitaab kar"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"zabaan rakhtaa huun lekin chup khaDaa huun main aavaazon ke ban mein ghir gayaa huun mire ghar kaa daricha puchhtaa hai main saaraa din kahaan phirtaa rahaa huun mujhe mere sivaa sab log samjhein main apne aap se kam boltaa huun sitaaron se hasad ki intihaa hai main qabron par charaaghaan kar rahaa huun sambhal kar ab havaaon se ulajhnaa main tujh se pesh-tar bujhne lagaa huun miri qurbat se kyuun khaaif hai duniyaa samundar huun main khud mein gunjtaa huun mujhe kab tak sameTegaa vo 'mohsin' main andar se bahut TuuTaa huaa huun"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"ab vo tufaan hai na vo shor havaaon jaisaa dil kaa aalam hai tire baad khalaaon jaisaa kaash duniyaa mire ehsaas ko vaapas kar de khaamushi kaa vahi andaaz sadaaon jaisaa paas rah kar bhi hamesha vo bahut duur milaa us kaa andaaz-e-taghaaful thaa khudaaon jaisaa kitni shiddat se bahaaron ko thaa ehsaas-e-maaal phuul khil kar bhi rahaa zard khizaaon jaisaa kyaa qayaamat hai ki duniyaa use sardaar kahe jis kaa andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisaa phir tiri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mire dil mein uThaa shor havaaon jaisaa baarhaa khvaab mein paa kar mujhe pyaasaa 'mohsin' us ki zulfon ne kiyaa raqs ghaTaaon jaisaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"agarche main ik chaTaan saa aadmi rahaa huun magar tire baad hausla hai ki ji rahaa huun vo reza reza mire badan mein utar rahaa hai main qatra qatra usi ki aankhon ko pi rahaa huun tiri hatheli pe kis ne likkhaa hai qatl meraa mujhe to lagtaa hai main tiraa dost bhi rahaa huun khuli hain aankhein magar badan hai tamaam patthar koi bataae main mar chukaa huun ki ji rahaa huun kahaan milegi misaal meri sitamgari ki ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun na puchh mujh se ki shahr vaalon kaa haal kyaa thaa ki main to khud apne ghar mein bhi do ghaDi rahaa huun milaa to biite dinon kaa sach us ki aankh mein thaa vo aashnaa jis se muddaton ajnabi rahaa huun bhulaa de mujh ko ki bevafaai bajaa hai lekin ganvaa na mujh ko ki main tiri zindagi rahaa huun vo ajnabi ban ke ab mile bhi to kyaa hai 'mohsin' ye naaz kam hai ki main bhi us kaa kabhi rahaa huun"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"qatl chhupte the kabhi sang ki divaar ke biich ab to khulne lage maqtal bhare baazaar ke biich apni poshaak ke chhin jaane pe afsos na kar sar salaamat nahin rahte yahaan dastaar ke biich surkhiyaan amn ki talqin mein masruf rahin harf baarud ugalte rahe akhbaar ke biich kaash is khvaab ki taabir ki mohlat na mile shoale ugte nazar aae mujhe gulzaar ke biich Dhalte suraj ki tamaazat ne bikhar kar dekhaa sar-kashida miraa saayaa saf-e-ashjaar ke biich rizq malbus makaan saans maraz qarz davaa munqasim ho gayaa insaan inhi afkaar ke biich dekhe jaate na the aansu mire jis se 'mohsin' aaj hanste hue dekhaa use aghyaar ke biich"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"maarka ab ke huaa bhi to phir aisaa hogaa tere dariyaa pe miri pyaas kaa pahra hogaa us ki aankhein tire chehre pe bahut bolti hain us ne palkon se tiraa jism taraashaa hogaa kitne jugnu isi khvaahish mein mire saath chale koi rasta tire ghar ko bhi to jaataa hogaa main bhi apne ko bhulaae hue phirtaa huun bahut aaina us ne bhi kuchh roz na dekhaa hogaa raat jal-thal miri aankhon mein utar aayaa thaa surat-e-abr koi TuuT ke barsaa hogaa ye masihaai use bhuul gai hai 'mohsin' yaa phir aisaa hai miraa zakhm hi gahraa hogaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"jugnu guhar charaagh ujaale to de gayaa vo khud ko DhunDne ke havaale to de gayaa ab is se baDh ke kyaa ho viraasat faqir ki bachchon ko apni bhiik ke pyaale to de gayaa ab meri soch saae ki surat hai us ke gird main bujh ke apne chaand ko haale to de gayaa shaayad ki fasl-e-sang-zani kuchh qarib hai vo khelne ko barf ke gaale to de gayaa ahl-e-talab pe us ke liye farz hai duaa khairaat mein vo chand nivaale to de gayaa 'mohsin' use qabaa ki zarurat na thi magar duniyaa ko roz-o-shab ke dushaale to de gayaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"fankaar hai to haath pe suraj sajaa ke laa bujhtaa huaa diyaa na muqaabil havaa ke laa dariyaa kaa intiqaam Dubo de na ghar tiraa saahil se roz roz na kankar uThaa ke laa ab ikhtitaam ko hai sakhi harf-e-iltimaas kuchh hai to ab vo saamne dast-e-duaa ke laa paimaan vafaa ke baandh magar soch soch kar is ibtidaa mein yuun na sukhan intihaa ke laa aaraaish-e-jaraahat-e-yaaraan ki bazm hai jo zakhm dil mein hain sabhi tan par sajaa ke laa thoDi si aur mauj mein aa ai havaa-e-gul thoDi si us ke jism ki khushbu churaa ke laa gar sochnaa hain ahl-e-mashiyyat ke hausle maidaan se ghar mein ek tu mayyat uThaa ke laa 'mohsin' ab us kaa naam hai sab ki zabaan par kis ne kahaa ki us ko ghazal mein sajaa ke laa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"saanson ke is hunar ko na aasaan khayaal kar zinda huun saaaton ko main sadiyon mein Dhaal kar maali ne aaj kitni duaaein vasul kiin kuchh phuul ik faqir ki jholi mein Daal kar kul yaum-e-hijr zard zamaanon kaa yaum hai shab bhar na jaag muft mein aankhein na laal kar ai gard-baad lauT ke aanaa hai phir mujhe rakhnaa mire safar ki aziyyat sambhaal kar mehraab mein diye ki tarah zindagi guzaar munh-zor aandhiyon mein na khud ko niDhaal kar shaayad kisi ne bukhl-e-zamin par kiyaa hai tanz gahre samundaron se jazire nikaal kar ye naqd-e-jaan ki is kaa luTaanaa to sahl hai gar ban paDe to is se bhi mushkil savaal kar 'mohsin' barahna-sar chali aai hai shaam-e-gham ghurbat na dekh is pe sitaaron ki shaal kar"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"kaThin tanhaaiyon se kaun khelaa main akelaa bharaa ab bhi mire gaanv kaa mela main akelaa bichhaD kar tujh se main shab bhar na soyaa kaun royaa ba-juz mere ye dukh bhi kis ne jhelaa main akelaa ye be-aavaaz banjar ban ke baasi ye udaasi ye dahshat kaa safar jangal ye bela main akelaa main dekhun kab talak manzar suhaane sab puraane vahi duniyaa vahi dil kaa jhamelaa main akelaa vo jis ke khauf se sahraa sidhaare log saare guzarne ko hai tufaan kaa vo relaa main akelaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"azaab-e-did mein aankhein lahu lahu kar ke main sharmsaar huaa teri justuju kar ke khanDar ki tah se burida-badan saron ke sivaa milaa na kuchh bhi khazaanon ki aarzu kar ke sunaa hai shahr mein zakhmi dilon kaa mela hai chaleinge ham bhi magar pairahan rafu kar ke masaafat-e-shab-e-hijraan ke baa'd bhed khulaa havaa dukhi hai charaaghon ki aabru kar ke zamin ki pyaas usi ke lahu ko chaaT gai vo khush huaa thaa samundar ko aabju kar ke ye kis ne ham se lahu kaa khiraaj phir maangaa abhi to soe the maqtal ko surkh-ru kar ke julus-e-ahl-e-vafaa kis ke dar pe pahunchaa hai nishaan-e-tauq-e-vafaa zinat-e-gulu kar ke ujaaD rut ko gulaabi banaae rakhti hai hamaari aankh tiri diid se vuzu kar ke koi to habs-e-havaa se ye puchhtaa 'mohsin' milaa hai kyaa use kaliyon ko be-numu kar ke"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"ye kah gae hain musaafir luTe gharon vaale Darein havaa se parinde khule paron vaale ye mere dil ki havas dasht-e-be-karaan jaisi vo teri aankh ke tevar samundaron vaale havaa ke haath mein kaase hain zard patton ke kahaan gae vo sakhi sabz chaadaron vaale kahaan mileinge vo agle dinon ke shahzaade pahan ke tan pe libaade gadaagaron vaale pahaaDiyon mein ghire ye bujhe bujhe raste kabhi idhar se guzarte the lashkaron vaale unhi pe ho kabhi naazil azaab aag ajal vahi nagar kabhi Thahrein payambaron vaale tire supurd karun aaine muqaddar ke idhar to aa mire khush-rang pattharon vaale kisi ko dekh ke chup chup se kyuun hue 'mohsin' kahaan gae vo iraade sukhan-varon vaale"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"fazaa kaa habs shagufon ko baas kyaa degaa badan-darida kisi ko libaas kyaa degaa ye dil ki qahat-e-anaa se gharib Thahraa hai miri zabaan ko zar-e-iltimaas kyaa degaa jo de sakaa na pahaaDon ko barf ki chaadar vo meri baanjh zamin ko kapaas kyaa degaa ye shahr yuun bhi to dahshat bharaa nagar hai yahaan dilon kaa shor havaa ko hiraas kyaa degaa vo zakhm de ke mujhe hausla bhi detaa hai ab is se baDh ke tabiat-shanaas kyaa degaa jo apni zaat se baahar na aa sakaa ab tak vo pattharon ko mataa-e-havaas kyaa degaa vo mere ashk bujhaaegaa kis tarah 'mohsin' samundaron ko vo sahraa ki pyaas kyaa degaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"ujaD ujaD ke sanvarti hai tere hijr ki shaam na puchh kaise guzarti hai tere hijr ki shaam ye barg barg udaasi bikhar rahi hai miri ki shaakh shaakh utarti hai tere hijr ki shaam ujaaD ghar mein koi chaand kab utartaa hai savaal mujh se ye karti hai tere hijr ki shaam mire safar mein ik aisaa bhi moD aataa hai jab apne aap se Darti hai tere hijr ki shaam bahut aziiz hain dil ko ye zakhm zakhm rutein inhi ruton mein nikharti hai tere hijr ki shaam ye meraa dil ye saraasar nigaar-khaana-e-gham sadaa isi mein utarti hai tere hijr ki shaam jahaan jahaan bhi milein teri qurbaton ke nishaan vahaan vahaan se ubharti hai tere hijr ki shaam ye haadisa tujhe shaayad udaas kar degaa ki mere saath hi marti hai tere hijr ki shaam"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"khumaar-e-mausam-e-khushbu had-e-chaman mein khulaa miri ghazal kaa khazaana tire badan mein khulaa tum us kaa husn kabhi us ki bazm mein dekho ki maahtaab sadaa shab ke pairahan mein khulaa ajab nasha thaa magar us ki bakhshish-e-lab mein ki yuun to ham se bhi kyaa kyaa na vo sukhan mein khulaa na puchh pahli mulaaqaat mein mizaaj us kaa vo rang rang mein simTaa kiran kiran mein khulaa badan ki chaap nigah ki zabaan bhi hoti hai ye bhed ham pe magar us ki anjuman mein khulaa ki jaise abr havaa ki girah se khul jaae safar ki shaam miraa mehrbaan thakan mein khulaa kahun main kis se nishaani thi kis masihaa ki vo ek zakhm ki 'mohsin' mire kafan mein khulaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"main dil pe jabr karungaa tujhe bhulaa dungaa marungaa khud bhi tujhe bhi kaDi sazaa dungaa ye tirgi mire ghar kaa hi kyuun muqaddar ho main tere shahr ke saare diye bujhaa dungaa havaa kaa haath baTaaungaa har tabaahi mein hare shajar se parinde main khud uDaa dungaa vafaa karungaa kisi sogvaar chehre se puraani qabr pe katba nayaa sajaa dungaa isi khayaal mein guzri hai shaam-e-dard aksar ki dard had se baDhegaa to muskuraa dungaa tu aasmaan ki surat hai gar paDegaa kabhi zamin huun main bhi magar tujh ko aasraa dungaa baDhaa rahi hain mire dukh nishaaniyaan teri main tere khat tiri tasvir tak jalaa dungaa bahut dinon se miraa dil udaas hai 'mohsin' is aaine ko koi aks ab nayaa dungaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"bhaDkaaein miri pyaas ko aksar tiri aankhein sahraa miraa chehraa hai samundar tiri aankhein phir kaun bhalaa daad-e-tabassum unhein degaa roeingi bahut mujh se bichhaD kar tiri aankhein khaali jo hui shaam-e-gharibaan ki hatheli kyaa kyaa na luTaati rahin gauhar teri aankhein bojhal nazar aati hain ba-zaahir mujhe lekin khulti hain bahut dil mein utar kar tiri aankhein ab tak miri yaadon se miTaae nahin miTtaa bhigi hui ik shaam kaa manzar tiri aankhein mumkin ho to ik taaza ghazal aur bhi kah luun phir oDh na lein khvaab ki chaadar tiri aankhein main sang-sifat ek hi raste mein khaDaa huun shaayad mujhe dekheingi palaT kar tiri aankhein yuun dekhte rahnaa use achchhaa nahin 'mohsin' vo kaanch kaa paikar hai to patthar tiri aankhein"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"khud apne dil mein kharaashein utaarnaa hongi abhi to jaag ke raatein guzaarnaa hongi tire liye mujhe hans hans ke bolnaa hogaa mire liye tujhe zulfein sanvaarnaa hongi tiri sadaa se tujhi ko taraashnaa hogaa havaa ki chaap se shaklein ubhaarnaa hongi abhi to teri tabiat ko jitne ke liye dil o nigaah ki shartein bhi haarnaa hongi tire visaal ki khvaahish ke tez rangon se tire firaaq ki subhein nikhaarnaa hongi ye shaairi ye kitaabein ye aayatein dil ki nishaaniyaan ye sabhi tujh pe vaarnaa hongi"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"ab ye sochun to bhanvar zehn mein paD jaate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhaD jaate hain kyuun tire dard ko dein tohmat-e-viraani-e-dil zalzalon mein to bhare shahr ujaD jaate hain mausam-e-zard mein ik dil ko bachaaun kaise aisi rut mein to ghane peD bhi jhaD jaate hain ab koi kyaa mire qadmon ke nishaan DhunDegaa tez aandhi mein to kheme bhi ukhaD jaate hain shaghl-e-arbaab-e-hunar puchhte kyaa ho ki ye log pattharon mein bhi kabhi aaine jaD jaati hain soch kaa aaina dhundlaa ho to phir vaqt ke saath chaand chehron ke khad-o-khaal bigaD jaate hain shiddat-e-gham mein bhi zinda huun to hairat kaisi kuchh diye tund havaaon se bhi laD jaate hain vo bhi kyaa log hain 'mohsin' jo vafaa ki khaatir khud-taraashida usulon pe bhi aD jaate hain"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"ek pal mein zindagi bhar ki udaasi de gayaa vo judaa hote hue kuchh phuul baasi de gayaa noch kar shaakhon ke tan se khushk patton kaa libaas zard mausam baanjh-rut ko be-libaasi de gayaa subh ke taare miri pahli duaa tere liye tu dil-e-be-sabr ko taskin zaraa si de gayaa log malbon mein dabe saae bhi dafnaane lage zalzala ahl-e-zamin ko bad-havaasi de gayaa tund jhonke ki ragon mein ghol kar apnaa dhuaan ik diyaa andhi havaa ko khud-shanaasi de gayaa le gayaa 'mohsin' vo mujh se abr bantaa aasmaan us ke badle mein zamin sadiyon ki pyaasi de gayaa"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi
Quote
"har ek shab yunhi dekheingi su-e-dar aankhein tujhe ganvaa ke na soeingi umr-bhar aankhein tulu-e-subh se pahle hi bujh na jaaein kahin ye dasht-e-shab mein sitaaron ki ham-safar aankhein sitam ye kam to nahin dil giraftagi ke liye main shahr bhar mein akelaa idhar-udhar aankhein shumaar us ki sakhaavat kaa kyaa karein ki vo shakhs charaagh baanTtaa phirtaa hai chhin kar aankhein main zakhm zakhm huaa jab to mujh pe bhed khulaa ki pattharon ko samajhti rahin guhar aankhein main apne ashk sanbhaalungaa kab talak 'mohsin' zamaana sang-ba-kaf hai to shishagar aankhein"
Mohsin NaqviMohsin Naqvi