SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byQaisarul Jafri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mujhe koi kyon sameTe miri raushni mein kyaa hai vo charaagh-e-rahguzar huun jo pas-e-sahar jalaa hai koi aisaa haadisa ho ki mujhi ko dafn kar de jo taras-taras ke barse vo ghubaar-e-dard kyaa hai tire zehn kaa dhuaan bhi na chhupaa sakaa vo manzar jise kaaT kar giraayaa vo shajar vahin khaDaa hai mujhe kyaa dikhaa rahe ho miraa daagh-e-naa-rasaai miri justuju se puchho koi raasta bachaa hai mujhe Dar hai aasmaan bhi kahin zad mein aa na jaae tah-e-khaak jo lahu hai vo zamin ki badduaa hai tire tesha-e-junun se hain lahu-lahu chaTaanein are kuchh to sochnaa thaa tah-e-sang aaina hai tujhe bhulne mein shaayad miri umr biit jaae tujhe bhulne se pahle mujhe khud ko bhulnaa hai na kahin kitaab mein huun na kisi ke dil mein 'qaisar' main khayaal-e-raaegaan huun mujhe kaun sochtaa hai"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"azaab saa hai dil-e-naa-muraad par kab se khaDaa huun main ravish-e-gard-baad par kab se kabhi miloge kahin to miloge jiite ji main ji rahaa huun isi e'timaad par kab se jo baaDh aai to be-chaara bah gayaa khud hi jo band baandh rahaa thaa fasaad par kab se vo zindagi jo kabhi muD ke dekhti bhi nahin main mar rahaa huun usi bad-nihaad par kab se mire qalam pe bhi shab-khun paD gayaa aakhir muhaasara thaa miri jaaedaad par kab se main raushni ko bhulaa duun to kyaa taajjub hai baras rahaa hai dhuaan meri yaad par kab se mire vajud mein kyaa shaahkaar hai pinhaan chaDhaa rahaa hai zamaana kharaad par kab se tamaam shahr-e-samaaat laraz uThaa 'qaisar' nikal paDi hai khamoshi jihaad par kab se"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"mire khudaa miri qaid-e-hayaat kam kar de charaagh de nahin saktaa to raat kam kar de sabhi to meri tarah hausla nahin rakhte sutun-e-daar ko do-chaar haath kam kar de mire vajud ki qimat agar parakhni hai ye kaaenaat uThaa meri zaat kam kar de main aadmi ke qaside ko band kartaa huun zaraa saa tu bhi farishton ki baat kam kar de tire khulus-e-musalsal se ji na bhar jaae kabhi kabhi nigah-e-iltifaat kam kar de ye roz-roz nai karbalaaein kaisi hain miri zamin se daagh-e-furaat kam kar de"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"kaaghaz kaaghaz dhuul uDegi fan banjar ho jaaegaa jis din sukhe dil ke aansu sab patthar ho jaaegaa TuTeingi jab niind se palkein so jaaungaa chupke se jis jangal mein raat paDegi meraa ghar ho jaaegaa khvaabon ke ye panchhi kab tak shor kareinge palkon par shaam Dhalegi aur sannaaTaa shaakhon par ho jaaegaa raat qalam le kar aaegi itni siyaahi chhiDkegi din kaa saaraa manzar-naama be-manzar ho jaaegaa naakhun se bhi iinT kuredein mil-jul kar ham-saae to aangan ki divaar na TuuTe lekin dar ho jaaegaa 'qaisar' ro lo ghazlein kah lo baaqi hai kuchh dard abhi agli ruton mein yuun lagtaa hai sab patthar ho jaaegaa"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"dasht-e-tanhaai mein kal raat havaa kaisi thi der tak TuTte lamhon ki sadaa kaisi thi zindagi ne miraa pichhaa nahin chhoDaa ab tak umr bhar sar se na utri ye balaa kaisi thi sunte rahte the mohabbat ke fasaane kyaa kyaa buund bhar dil pe na barsi ye ghaTaa kaisi thi kyaa milaa faisla-e-tark-e-taalluq kar ke tum jo bichhDe the to honTon pe duaa kaisi thi TuuT kar khud jo vo bikhraa hai to maalum huaa jis se lipTaa thaa vo divaar-e-anaa kaisi thi jism se noch ke pheinki bhi to khushbu na gai ye rivaayaat ki bosida qabaa kaisi thi Dubte vaqt bhanvar puchh rahaa hai 'qaisar' jab kinaare se chale the to fazaa kaisi thi"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"piyaa karte hain chhup kar shaikh ji rozaana rozaana chale aate hain aadhi raat ko mai-khaana rozaana mohabbat jaan bhi deti hai tarsaati bhi hai yaaro kabhi paimaana barson mein kabhi paimaana rozaana pareshaan huun kanval jaisi ye aankhein chuum lene do ki in phulon pe manDlaayegaa ye bhaunraa na rozaana sharaabon ko na jaane log kyuun badnaam karte hain ki main to mar gayaa hotaa agar piitaa na rozaana kabhi chilman uThaa kar dekh to lo baat mat karnaa ki dil thaame hue aataa hai ik divaana rozaana kisi din bazm-e-saaqi se nikaale jaaoge 'qaisar' nibhaaoge kahaan tak ThaaTh ye shaahaana rozaana"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"bajte hue ghunghru the uDti hui taanein thiin pahle inhi galiyon mein naghmon ki dukaanein thiin yuun baiTh rahin dil mein shorida tamannaaein goyaa kisi jangal mein patton ki uDaanein thiin yaarab mire haathon mein tesha bhi diyaa hotaa har manzil-e-hasti mein jab itni chaTaanein thiin vo lamha-e-larzaan bhi dekhaa hai sar-e-mahfil ik shoale ki muTThi mein parvaanon ki jaanein thiin ham marhala-e-gham mein tanhaa the kahaan yaaro qaatil the salibein thiin teghein thi sinaanein thiin ik harf-e-mohabbat yuun phailaa ki gunah Thahraa afsaane hamaare the duniyaa ki zabaanein thiin"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"dil ki aag kahaan le jaate jalti bujhti chhoD chale banjaaron se Darne vaalo lo ham apni basti chhoD chale aage aage chikh rahaa hai sahraa kaa ik zard safar dariyaa jaane saahil jaane ham to kashti chhoD chale miTTi ke ambaar ke niche Duub gayaa mustaqbil bhi divaaron ne dekhaa hogaa bachche takhti chhoD chale duniyaa rakkhe chaahe pheinke ye hai paDi zambil-e-sukhan ham ne jitni punji joDi ratti ratti chhoD chale saari umr ganvaa di 'qaisar' do gaz miTTi haath lagi kitni mahngi chiiz thi duniyaa kitni sasti chhoD chale"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"main pichhli raat kyaa jaane kahaan thaa duaaon kaa bhi lahja be-zabaan thaa havaa gum-sum thi suunaa aashiyaan thaa parinda raat bhar jaane kahaan thaa havaaon mein uDaa karte the ham bhi hamaare saamne bhi aasmaan thaa miri taqdir thi aavaaragardi miraa saaraa qabila be-makaan thaa maze se so rahi thi saari basti jahaan main thaa vahin shaayad dhuaan thaa main apni laash par aansu bahaataa mujhe dukh thaa magar itnaa kahaan thaa safar kaaTaa hai kitni mushkilon se vahaan saaya na thaa paani jahaan thaa kahaan se aa gai ye khud-numaai vahin pheink aao aaina jahaan thaa main qatl-e-aam kaa shaahid huun 'qaisar' ki basti mein miraa unchaa makaan thaa"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"din ki bedard thakan chehre pe le kar mat jaa baam-o-dar jaag rahe honge abhi ghar mat jaa mere purkhon ki viraasat kaa bharam rahne de tu haveli ko khulaa dekh ke andar mat jaa buund bhar dard sanbhaltaa nahin kam-zarfon se rakh ke tu apni hatheli pe samundar mat jaa phuTne de miri palkon se zaraa aur lahu ai miri niind abhi chhoD ke bistar mat jaa kuchh to rahne de abhi tark-e-vafaa ki khaatir tujh ko jaanaa hai to jaa haath jhaTak kar mat jaa aur kuchh der ye mashq-e-nigah-e-naaz sahi saamne baiTh abhi pheink ke khanjar mat jaa dhuup kyaa hai tujhe andaaza nahin hai 'qaisar' aable paanv mein paD jaaeinge baahar mat jaa"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"basti mein hai vo sannaaTaa jangal maat lage shaam Dhale bhi ghar pahunchun to aadhi raat lage muTThi band kiye baiThaa huun koi dekh na le chaand pakaDne ghar se niklaa jugnu haat lage tum se bichhDe dil ko ujDe barson biit gae aankhon kaa ye haal hai ab tak kal ki baat lage tum ne itne tiir chalaae sab khaamosh rahe ham taDpe to duniyaa bhar ke ilzaamaat lage khat mein dil ki baatein likhnaa achchhi baat nahin ghar mein itne log hain jaane kis ke haat lage saavan ek mahine 'qaisar' aansu jivan bhar in aankhon ke aage baadal be-auqaat lage"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"musaafiron kaa kabhi e'tibaar mat karnaa jahaan kahaa thaa vahaan intizaar mat karnaa mein niind huun miri had hai tumhaari palkon tak badan jalaa ke miraa intizaar mat karnaa mein bach gayaa huun magar saare khvaab Duub gae miri tarah bhi samundar ko paar mat karnaa bahaa lo apne shahidon ki qabr par aansu magar ye hukm hai katbe shumaar mat karnaa havaa aziiz hai lekin ye us ki zid kyaa hai tum apne ghar ke charaaghon ko pyaar mat karnaa ye vaqt band darichon pe likh gayaa 'qaisar' main jaa rahaa huun miraa intizaar mat karnaa"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"barson ke rat-jagon ki thakan khaa gai mujhe suraj nikal rahaa thaa ki niind aa gai mujhe rakkhi na zindagi ne miri muflisi ki sharm chaadar banaa ke raah mein phailaa gai mujhe main bik gayaa thaa baad mein be-sarfa jaan kar duniyaa miri dukaan pe lauTaa gai mujhe dariyaa pe ek tanz samajhiye ki tishnagi saahil ki sard ret mein dafnaa gai mujhe ai zindagi tamaam lahu raaegaan huaa kis dasht-e-be-savaad mein barsaa gai mujhe kaaghaz kaa chaand rakh diyaa duniyaa ne haath mein pahle safar ki raat hi raas aa gai mujhe kyaa chiiz thi kisi ki adaa-e-supurdagi bhige badan ki aag mein nahlaa gai mujhe 'qaisar' qalam ki aag kaa ehsaanmand huun jab ungliyaan jalin to ghazal aa gai mujhe"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"tiri gali mein tamaashaa kiye zamaana huaa phir is ke baad na aanaa huaa na jaanaa huaa kuchh itnaa TuuT ke chaahaa thaa mere dil ne use vo shakhs meri muravvat mein bevafaa na huaa havaa khafaa thi magar itni sang-dil bhi na thi hamin ko shama jalaane kaa hausla na huaa mire khulus ki saiqal-gari bhi haar gai vo jaane kaun saa patthar thaa aaina na huaa main zahr piitaa rahaa zindagi ke haathon se ye aur baat hai meraa badan haraa na huaa shuur chaahiye tartib-e-khaar-o-khas ke liye qafas ko toD ke rakkhaa to aashiyaana huaa hamaare gaanv ki miTTi hi ret jaisi thi ye ek raat kaa sailaab to bahaana huaa kisi ke saath gaiin dil ki dhaDkanein 'qaisar' phir is ke baad mohabbat kaa haadisa na huaa"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri
Quote
"tumhaare shahr kaa mausam baDaa suhaanaa lage main ek shaam churaa luun agar buraa na lage tumhaare bas mein agar ho to bhuul jaao mujhe tumhein bhulaane mein shaayad mujhe zamaana lage jo Dubnaa hai to itne sukun se Duubo ki aas-paas ki lahron ko bhi pataa na lage vo phuul jo mire daaman se ho gae mansub khudaa kare unhein baazaar ki havaa na lage na jaane kyaa hai kisi ki udaas aankhon mein vo munh chhupaa ke bhi jaae to bevafaa na lage tu is tarah se mire saath bevafaai kar ki tere baa'd mujhe koi bevafaa na lage tum aankh muund ke pi jaao zindagi 'qaisar' ki ek ghunT mein mumkin hai bad-maza na lage"
Qaisarul JafriQaisarul Jafri