Shayari
hamaari naa-umidi kaa to hai ilzaam qismat par
tumhaaraa muddaaa hotaa to manzur-e-khudaa hotaa hotaa
karte hain arbaab-e-dil andaaza-e-josh-e-bahaar
meraa daaman dekh kar meraa garebaan dekh kar
کرتے ہیں ارباب دل اندازۂ جوش بہار
میرا دامن دیکھ کر میرا گریباں دیکھ کر
करते हैं अर्बाब-ए-दिल अंदाज़ा-ए-जोश-ए-बहार
मेरा दामन देख कर मेरा गरेबाँ देख कर

hamaari naa-umidi kaa to hai ilzaam qismat par
tumhaaraa muddaaa hotaa to manzur-e-khudaa hotaa hotaa
haalat ke taghayyur par ho maatam-e-maazi kyuun
ik vo bhi zamaana thaa ik ye bhi zamaanaa hai
tavajjoh chaara-gar ki baais-e-taklif hai 'bekhud'
izaafa hai musibat mein davaaon kaa asar karnaa
in buton ne mujh ko be-khud kis qadar dhoke diye
sidhaa-saada jaan kar mard-e-musalmaan dekh kar
azal se sokhta-saamaan huun fikr-e-aashiyaan kyaa ho
na girti barq to ye soz-e-dil se jal gayaa hotaa
kisi se ishq karnaa aur is ko baa-khabar karnaa
hai apne matlab-e-dushvaar ko dushvaar-tar karnaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
hain dalilein tire khilaaf magar
sochtaa huun tiri himaayat mein
apne sabhi gile bajaa par hai yahi ki dilrubaa
meraa tiraa moaamla ishq ke bas kaa thaa nahin
inqalaab ek khvaab hai so hai
dil ki duniyaa kharaab hai so hai