Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ye roz-marra ke kuchh vaaqiaat-e-shaadi-o-gham
mire khudaa yahi insaan ki zindagaani hai
یہ روزمرہ کے کچھ واقعات شادیٔ و غم
مرے خدا یہی انساں کی زندگانی ہے
ये रोज़-मर्रा के कुछ वाक़िआत-ए-शादी-ओ-ग़म
मिरे ख़ुदा यही इंसाँ की ज़िंदगानी है

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khun-e-jigar aankhon se bahaayaa gham kaa sahraa paar kiyaa
teri tamannaa ki kyaa ham ne jivan ko aazaar kiyaa
khat likh ke kabhi aur kabhi khat ko jalaa kar
tanhaai ko rangin banaa kyuun nahin lete
saaf jazbon ke havaale se to gham hain lekin
ek lamhe ki khushi ek sadi rahti hai