Shayari
na to aaftaab ki hai gharaz na talab mujhe koi chaand ki
vo charaagh mujh ko 'aziz hai miri zulmaton ko jo nuur de
chaman mein shor hai bhanvron ki chaahat kaa bahut lekin
mohabbat gul ki bulbul se hai khaamoshi ke parde mein
چمن میں شور ہے بھنوروں کی چاہت کا بہت لیکن
محبت گل کی بلبل سے ہے خاموشی کے پردے میں
चमन में शोर है भँवरों की चाहत का बहुत लेकिन
मोहब्बत गुल की बुलबुल से है ख़ामोशी के पर्दे में

na to aaftaab ki hai gharaz na talab mujhe koi chaand ki
vo charaagh mujh ko 'aziz hai miri zulmaton ko jo nuur de
us ke chehre pe thaa namak aisaa
aaj tak zaaiqa hai honTon par
pukhta agar hai 'azm to socho na dosto
chhoTi si naav aur samundar vishaal hai
khatra thaa aandhiyon se magar haae-re nasib
baad-e-sabaa charaagh bujhaa kar chali gai
chaahe kitni bhi andheri shab ho
dekhnaa phir se ujaalaa hogaa
main agar aaina nahin hotaa
koi mujh se khafaa nahin hotaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nahin ki jurm-e-mohabbat kaa e'tiraaf nahin
magar huun khush ki miri ye khataa muaaf nahin
kaisi kashish hai ishq ke TuuTe mazaar mein
mela lagaa huaa hai hamaare dayaar mein
ab tum bhi zaraa husn-e-jahaan-soz ko roko
ham to dil-e-betaab ko samjhaae hue hain