Shayari
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
hai hukm-e-aam ishq alaihis-salaam kaa
puujo buton ko bhed kuchh in mein khudaa ke hain
ہے حکم عام عشق علیہ السلام کا
پوجو بتوں کو بھید کچھ ان میں خدا کے ہیں
है हुक्म-ए-आम इश्क़ अलैहिस-सलाम का
पूजो बुतों को भेद कुछ इन में ख़ुदा के हैं

mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
musalmaan kaafiron mein huun musalmaanon mein kaafir huun
ki quraan sar pe but aankhon mein hai zunnaar pahlu mein
jitne achchhe hain main huun un mein buraa
hain bure jitne un mein achchhaa huun
tum ko maalum javaani kaa mazaa hai ki nahin
khvaab hi mein kabhi kuchh kaam huaa hai ki nahin
niind se uTh kar vo kahnaa yaad hai
tum ko kyaa sujhi ye aadhi raat ko
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sazaa dete hain 'vaasif' sab ko vo jurm-e-mohabbat par
nahin mere liye koi sazaa ye hai sazaa meri
jo rang-e-ishq se faarigh ho us ko dil nahin kahte
jo maujon se na Takraae use saahil nahin kahte
karne ko kuchh nahin hai nae saal mein 'yashab'
kyon naa kisi se tark-e-mohabbat hi kijiye
vafur-e-ishq ke jazbe se ho gai sarshaar
nikal paDi hai muridan jadid piir ke saath