Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dariyaa ki zindagi par sadqe hazaar jaanein
mujh ko nahin gavaaraa saahil ki maut marnaa
دریا کی زندگی پر صدقے ہزار جانیں
مجھ کو نہیں گوارا ساحل کی موت مرنا
दरिया की ज़िंदगी पर सदक़े हज़ार जानें
मुझ को नहीं गवारा साहिल की मौत मरना

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sadiyon se zamaane kaa ye andaaz rahaa hai
saaya bhi judaa ho gayaa jab vaqt paDaa hai
bhiiD mein zamaane ki ham sadaa akele the
vo bhi duur hai kitnaa jo rag-e-gulu mein hai
sadiyon kaa intishaar fasilon mein qaid thaa
dastak ye kis ne di ki imaarat bikhar gai