Shayari
umr bhar sang-zani karte rahe ahl-e-vatan
ye alag baat ki dafnaaeinge eazaaz ke saath
itnaa maanus huun sannaaTe se
koi bole to buraa lagtaa hai
اتنا مانوس ہوں سناٹے سے
کوئی بولے تو برا لگتا ہے
इतना मानूस हूँ सन्नाटे से
कोई बोले तो बुरा लगता है

umr bhar sang-zani karte rahe ahl-e-vatan
ye alag baat ki dafnaaeinge eazaaz ke saath
mire khudaa ne kiyaa thaa mujhe asir-e-bahisht
mire gunah ne rihaai mujhe dilaai hai
un kaa aanaa hashr se kuchh kam na thaa
aur jab palTe qayaamat Dhaa gae
bhari duniyaa mein faqat mujh se nigaahein na churaa
ishq par bas na chalegaa tiri daanaai kaa
saari duniyaa hamein pahchaanti hai
koi ham saa bhi na tanhaa hogaa
mar jaataa huun jab ye sochtaa huun
main tere baghair ji rahaa huun
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad