Shayari
dil se dil nazron se nazron ke ulajhne kaa samaan
jaise sahraaon mein niind aai ho divaanon ko
vaqt ki qabr mein ulfat kaa bharam rakhne ko
apni hi laash utaari hai tumhein kyaa maalum
وقت کی قبر میں الفت کا بھرم رکھنے کو
اپنی ہی لاش اتاری ہے تمہیں کیا معلوم
वक़्त की क़ब्र में उल्फ़त का भरम रखने को
अपनी ही लाश उतारी है तुम्हें क्या मालूम

dil se dil nazron se nazron ke ulajhne kaa samaan
jaise sahraaon mein niind aai ho divaanon ko
mire habib miri muskuraahaTon pe na jaa
khudaa-gavaah mujhe aaj bhi tiraa gham hai
ab na kaaba ki tamannaa na kisi but ki havas
ab to zinda huun kisi markaz-e-insaan ke liye
dil ke sunsaan jaziron ki khabar laaegaa
dard pahlu se judaa ho ke kahaan jaaegaa
zindagi ke vo kisi moD pe gaahe gaahe
mil to jaate hain mulaaqaat kahaan hoti hai
kahin ye apni mohabbat ki intihaa to nahin
bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dar-asl main ne mashaqqat nahin mohabbat ki
hatheliyon pe nahin mere dil pe chhaale hain
sharaab-e-husn-o-mohabbat fashurda-e-anjum
anis-e-shaam-o-sahar hamdam-e-vajud-o-adam
abhi takmil-e-ulfat par na dil maghrur ho jaae
ye manzil vo hai jitni tai ho utni duur ho jaae
ishq mein nisbat nahin bulbul ko parvaane ke saath
vasl mein vo jaan de ye hijr mein jiiti rahe