Shayari
meri jannat tiri nigaah-e-karam
mujh se phir jaae ye khudaa na kare
A
Aish Meeruthiaankhon ko tamanna hai khaak-e-dar-e-jaanaan ki
khaak-e-dar-e-har-kucha iksir nahin hoti
آنکھوں کو تمنا ہے خاک در جاناں کی
خاک در ہر کوچہ اکسیر نہیں ہوتی
आँखों को तमन्ना है ख़ाक-ए-दर-ए-जानाँ की
ख़ाक-ए-दर-ए-हर-कूचा इक्सीर नहीं होती
meri jannat tiri nigaah-e-karam
mujh se phir jaae ye khudaa na kare
uThaane vaale hamein bazm se zaraa ye dekh
ki TuTtaa hai gharibon kaa aasraa kaise
karun kis kaa gila kahte hue bhi sharm aati hai
raqib afsos apne hi puraane aashnaa nikle
na milne par bhi use 'aish' pyaar kartaa huun
yuun unchaa kar diyaa meaar-e-zindagi main ne
baDhti rahi nigaah bahakte rahe qadam
guzraa hai is tarah bhi zamaana shabaab kaa
ye bhi koi zindagi mein zindagi hai ham-nafas
dil kahin hai ham kahin hain aur jaanaana kahin
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
baandhaa thaa khud hi aap ne paighaam-e-iltifaat
kyaa baat thi jo aap hi khud bad-gumaan hue
abhi dikhaao na tasvir-e-zindagi is ko
ye bachpanaa hai abhi muskuraanaa chaahtaa hai
sataanaa qatl karnaa phir jalaanaa
vo be-taalim kyaa kyaa jaante hain