Shayari
is qadar thaa khaTmalon kaa chaarpaai mein hujum
vasl kaa dil se mire armaan rukhsat ho gayaa
daavaa bahut baDaa hai riyaazi mein aap ko
tul-e-shab-e-firaaq ko to naap dijiye
دعویٰ بہت بڑا ہے ریاضی میں آپ کو
طول شب فراق کو تو ناپ دیجئے
दावा बहुत बड़ा है रियाज़ी में आप को
तूल-ए-शब-ए-फ़िराक़ को तो नाप दीजिए

is qadar thaa khaTmalon kaa chaarpaai mein hujum
vasl kaa dil se mire armaan rukhsat ho gayaa
yahi Thahri jo shart-e-vasl-e-lailaa
to istifaa miraa baa-hasrat-o-yaas
kaabe se jo but nikle bhi to kyaa kaaba hi gayaa jo dil se nikal
afsos ki but bhi ham se chhuTe qabze se khudaa kaa ghar bhi gayaa
izzat kaa hai na auj na neki ki mauj hai
hamla hai apni qaum pe lafzon ki fauj hai
maulvi saahib na chhoDeinge khudaa go bakhsh de
gher hi leinge police vaale sazaa ho yaa na ho
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
vaada-e-vasl diyaa iid ki shab ham ko sanam
aur tum jaa ke hue shir-o-shakar aur kahin
kucha-e-zulf mein phirtaa huun bhaTaktaa kab kaa
shab-e-taarik hai aur milti nahin raah kahin
chup-chaap sunti rahti hai pahron shab-e-firaaq
tasvir-e-yaar ko hai miri guftugu pasand