Shayari
thakaa huaa huun kisi saae ki talaash mein huun
bichhaD gayaa huun sitaaron se raushni ki tarah
toD bhi do ehsaas ke rishte chhoD bhi do dukh apnaane
ro ro ke jivan kaaToge ro ro ke mar jaaoge
توڑ بھی دو احساس کے رشتے چھوڑ بھی دو دکھ اپنانے
رو رو کے جیون کاٹو گے رو رو کے مر جاؤ گے
तोड़ भी दो एहसास के रिश्ते छोड़ भी दो दुख अपनाने
रो रो के जीवन काटोगे रो रो के मर जाओगे

thakaa huaa huun kisi saae ki talaash mein huun
bichhaD gayaa huun sitaaron se raushni ki tarah
ashk jab dida-e-tar se niklaa
ek kaanTaa saa jigar se niklaa
kam-zarf zamaane ki hiqaarat kaa gila kyaa
main khush huun miraa pyaar samundar ki tarah hai
ab bhi aati hai tiri yaad pa is karb ke saath
TuTti niind mein jaise koi sapnaa dekhaa
apnon ki chaahaton ne bhi kyaa kyaa diye fareb
rote rahe lipaT ke har ik ajnabi ke saath
mujh ko manzil bhi na pahchaan saki
main ki jab gard-e-safar se niklaa
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azizon ke
in se hi jivan bantaa hai so jivan ban jaaegaa
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
tiri aarzu se bhi kyuun nahin gham-e-zindagi mein koi kami
ye savaal vo hai ki jis kaa ab koi ik javaab nahin rahaa
kyaa qayaamat hai hijr ke din bhi
zindagi mein shumaar hote hain