Shayari
ajiib hote hain aadaab-e-rukhsat-e-mahfil
ki vo bhi uTh ke gayaa jis kaa ghar na thaa koi
tiri aarzu se bhi kyuun nahin gham-e-zindagi mein koi kami
ye savaal vo hai ki jis kaa ab koi ik javaab nahin rahaa
تری آرزو سے بھی کیوں نہیں غم زندگی میں کوئی کمی
یہ سوال وہ ہے کہ جس کا اب کوئی اک جواب نہیں رہا
तिरी आरज़ू से भी क्यूँ नहीं ग़म-ए-ज़िंदगी में कोई कमी
ये सवाल वो है कि जिस का अब कोई इक जवाब नहीं रहा

ajiib hote hain aadaab-e-rukhsat-e-mahfil
ki vo bhi uTh ke gayaa jis kaa ghar na thaa koi
tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log
kyaa tamaashaa hai ki marte bhi nahin zahr se log
mahfil-aaraai hamaari nahin ifraat kaa naam
koi ho yaa ki na ho aap to aae hue hain
ham ko jannat ki fazaa se bhi ziyaada hai aziiz
yahi be-rang si duniyaa yahi be-mehr se log
jise guzaar gae ham baDe hunar ke saath
vo zindagi thi hamaari hunar na thaa koi
ye marnaa jiinaa bhi shaayad majburi ki do lahrein hain
kuchh soch ke marnaa chaahaa thaa kuchh soch ke jiinaa chaahaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tu hai aur aish hai aur anjuman-aaraai hai
main huun aur ranj hai aur gosha-e-tanhaai hai
nahin mumkin lab-e-aashiq se harf-e-muddaaa nikle
jise tum ne kiyaa khaamosh us se kyaa sadaa nikle
daam-e-har-mauj mein hai halqa-e-sad-kaam-e-nahang
dekhein kyaa guzre hai qatre pe guhar hote tak