Shayari
ek raushan dimaagh thaa na rahaa
shahar mein ik charaagh thaa na rahaa
hoti nahin qubul duaa tark-e-ishq ki
dil chaahtaa na ho to zabaan mein asar kahaan
ہوتی نہیں قبول دعا ترک عشق کی
دل چاہتا نہ ہو تو زباں میں اثر کہاں
होती नहीं क़ुबूल दुआ तर्क-ए-इश्क़ की
दिल चाहता न हो तो ज़बाँ में असर कहाँ

ek raushan dimaagh thaa na rahaa
shahar mein ik charaagh thaa na rahaa
aa rahi hai chaah-e-yusuf se sadaa
dost yaan thoDe hain aur bhaai bahut
jaanvar aadmi farishta khudaa
aadmi ki hain saikaDon qismein
ham ne avval se paDhi hai ye kitaab aakhir tak
ham se puchhe koi hoti hai mohabbat kaisi
gul-o-gulchin kaa gila bulbul-e-khush-lahja na kar
tu giraftaar hui apni sadaa ke baais
farishte se baDh kar hai insaan bannaa
magar is mein lagti hai mehnat ziyaada
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi