Shayari
aql thak kar lauT aai jaada-e-aalaam se
ab junun aaghaaz farmaaegaa is anjaam se
thi siyaahiyon kaa maskan miri zindagi ki vaadi
tire husn ke tasadduq mujhe raushni dikhaa di
تھی سیاہیوں کا مسکن مری زندگی کی وادی
ترے حسن کے تصدق مجھے روشنی دکھا دی
थी सियाहियों का मस्कन मिरी ज़िंदगी की वादी
तिरे हुस्न के तसद्दुक़ मुझे रौशनी दिखा दी

aql thak kar lauT aai jaada-e-aalaam se
ab junun aaghaaz farmaaegaa is anjaam se
ye qadam qadam balaaein ye savaad-e-ku-e-jaanaan
vo yahin se lauT jaae jise zindagi ho piyaari
chand alfaaz ke moti hain mire daaman mein
hai magar teri mohabbat kaa taqaazaa kuchh aur
baaqi hi kyaa rahaa hai tujhe maangne ke baad
bas ik duaa mein chhuT gae har duaa se ham
aablon kaa shikva kyaa Thokaron kaa gham kaisaa
aadmi mohabbat mein sab ko bhuul jaataa hai
ishq sar-taa-ba-qadam aatish-e-sozaan hai magar
us mein shola na sharaara na dhuaan hotaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai