Shayari
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
kaisaa firaaq kaisi judaai kahaan kaa hijr
vo jaaegaa agar to khayaalon mein aaegaa
کیسا فراق کیسی جدائی کہاں کا ہجر
وہ جائے گا اگر تو خیالوں میں آئے گا
कैसा फ़िराक़ कैसी जुदाई कहाँ का हिज्र
वो जाएगा अगर तो ख़यालों में आएगा

kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
zabaan-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho
parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain
zamin ki god mein itnaa sukun thaa 'anjum'
ki jo gayaa vo safar ki thakaan bhuul gayaa
allaah ke ghar der hai andher nahin hai
tu yaas ke mausam mein bhi ummid kaa fan siikh
vahshat-e-hijr bhi tanhaai bhi main bhi 'anjum'
jab ikaTThe hue sab ek ghazal aur kahi
insaan ki niyyat kaa bharosa nahin koi
milte ho to is baat ko imkaan mein rakhnaa
kitni be-sud judaai hai ki dukh bhi na milaa
koi dhoka hi vo detaa ki main pachhtaa saktaa
ye khubi hai ki naa-khubi magar main
alag chaltaa huun apne kaarvaan se
kyuun baDhaate ho ikhtilaat bahut
ham ko taaqat nahin judaai ki
tire firaaq mein dil kaa ajiib aalam hai
na kuchh khumaar se baDh kar na kuchh khumaar se kam
us ke vaadon se itnaa to saabit huaa us ko thoDaa saa paas-e-taalluq to hai
ye alag baat hai vo hai vaada-shikan ye bhi kuchh kam nahin us ne vaade kiye
fikr-e-jahaan dard-e-mohabbat firaaq-e-yaar
kyaa kahiye kitne gham hain miri zindagi ke saath