Shayari
meraa har sher haqiqat ki hai zinda tasvir
apne ashaar mein qissa nahin likhkhaa main ne
sabhi ke apne masaail sabhi ki apni anaa
pukaarun kis ko jo de saath umr bhar meraa
سبھی کے اپنے مسائل سبھی کی اپنی انا
پکاروں کس کو جو دے ساتھ عمر بھر میرا
सभी के अपने मसाइल सभी की अपनी अना
पुकारूँ किस को जो दे साथ उम्र भर मेरा

meraa har sher haqiqat ki hai zinda tasvir
apne ashaar mein qissa nahin likhkhaa main ne
koi puchhegaa jis din vaaqai ye zindagi kyaa hai
zamin se ek muTThi khaak le kar ham uDaa deinge
musalsal dhuup mein chalnaa charaaghon ki tarah jalnaa
ye hangaame to mujh ko vaqt se pahle thakaa deinge
ab naam nahin kaam kaa qaael hai zamaana
ab naam kisi shakhs kaa raavan na milegaa
na jaane kyuun adhuri hi mujhe tasvir jachti hai
main kaaghaz haath mein lekar faqat chehra banaataa huun
main ne likhkhaa hai use maryam o siitaa ki tarah
jism ko us ke ajantaa nahin likhkhaa main ne
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai