Shayari
raasta rok liyaa meraa kisi bachche ne
is mein koi to 'asar' meri bhalaai hogi
hai ajab si kashmakash dil mein 'asar'
kis ko bhulein kis ko rakkhein yaad ham
ہے عجب سی کشمکش دل میں اثرؔ
کس کو بھولیں کس کو رکھیں یاد ہم
है अजब सी कश्मकश दिल में 'असर'
किस को भूलें किस को रक्खें याद हम

raasta rok liyaa meraa kisi bachche ne
is mein koi to 'asar' meri bhalaai hogi
ulfat kaa hai maza ki 'asar' gham bhi saath hon
taarikiyaan bhi saath rahein raushni ke saath
zindagi tujh se ye gilaa hai mujhe
koi apnaa nahin milaa hai mujhe
fikr-e-jahaan dard-e-mohabbat firaaq-e-yaar
kyaa kahiye kitne gham hain miri zindagi ke saath
saaya bhi saath chhoD gayaa ab to ai 'asar'
phir kis liye main aaj ko kal se judaa karun
ulfat ke badle un se milaa dard-e-laa-ilaaj
itnaa baDhe hai dard main jitni davaa karun
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ho gae din jinhein bhulaae hue
aaj kal hain vo yaad aae hue
kar kuchh aisaa ki tujhe yaad rakhun
bhuul jaane kaa taqaazaa hi sahi
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
mujhe khabar hai kyaa kuchh hai buniyaadon mein
teri basti kaa pahlaa mazdur thaa main
dam liyaa thaa na qayaamat ne hanuz
phir tiraa vaqt-e-safar yaad aayaa