Shayari
sau baar tiraa daaman haathon mein mire aayaa
jab aankh khuli dekhaa apnaa hi garebaan thaa
ye bhi fareb se hain kuchh dard aashiqi ke
ham mar ke kyaa kareinge kyaa kar liyaa hai ji ke
یہ بھی فریب سے ہیں کچھ درد عاشقی کے
ہم مر کے کیا کریں گے کیا کر لیا ہے جی کے
ये भी फ़रेब से हैं कुछ दर्द आशिक़ी के
हम मर के क्या करेंगे क्या कर लिया है जी के

sau baar tiraa daaman haathon mein mire aayaa
jab aankh khuli dekhaa apnaa hi garebaan thaa
kyaa mastiyaan chaman mein hain josh-e-bahaar se
har shaakh-e-gul hai haath mein saaghar liye hue
chalaa jaataa huun hanstaa kheltaa mauj-e-havaadis se
agar aasaaniyaan hon zindagi dushvaar ho jaae
zaahid ne miraa haasil-e-imaan nahin dekhaa
rukh par tiri zulfon ko pareshaan nahin dekhaa
yuun muskuraae jaan si kaliyon mein paD gai
yuun lab-kushaa hue ki gulistaan banaa diyaa
pahli nazar bhi aap ki uff kis balaa ki thi
ham aaj tak vo choT hain dil par liye hue
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ataa-e-gham pe bhi khush huun miri khushi kyaa hai
razaa talab jo nahin hai vo bandagi kyaa hai
shaamil ho gar na gham ki khalish zindagi ke saath
rakkhe na koi rabt-e-mohabbat kisi ke saath
aayaa hai koi pursish-e-ahvaal ke liye
pesh aansuon ki aap bhi saughaat kijiye