Shayari
us se milne ki talab mein ji liye kuchh aur din
vo bhi khud biite dinon se bar-sar-e-paikaar thi
rahguzar bhi tiri pahle thi ajnabi
har gali ab tiri rahguzar ho gai
رہ گزر بھی تری پہلے تھی اجنبی
ہر گلی اب تری رہ گزر ہو گئی
रहगुज़र भी तिरी पहले थी अजनबी
हर गली अब तिरी रहगुज़र हो गई

us se milne ki talab mein ji liye kuchh aur din
vo bhi khud biite dinon se bar-sar-e-paikaar thi
vahin ke pattharon se puchh meraa haal-e-zindagi
main reza reza ho ke jis dayaar mein bikhar gayaa
zindagi karnaa vo mushkil fan hai 'ashhar' haashmi
jaise ki chalnaa paDe bijli ke nange taar par
meri duniyaa mein samundar kaa kahin naam nahin
phir ghaTaa pheinkti hai mujh pe ye patthar kaise
'ashhar' kahin qarib hi taarik ghaar hai
jugnu ki raushni ko vahin chal ke chhoD dein
tiraa ghurur jhuk ke jab milaa mire vajud se
na jaane meri kamtari kaa chehra kyuun utar gayaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
ghaTaa dekh kar khush huiin laDkiyaan
chhaton par khile phuul barsaat ke