Shayari
use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju
magar us ke aariz-e-naaz pe miri har nigaah phisal gai
tujh se mil kar bhi udaasi nahin jaati dil ki
tu nahin aur koi meri kami ho jaise
تجھ سے مل کر بھی اداسی نہیں جاتی دل کی
تو نہیں اور کوئی میری کمی ہو جیسے
तुझ से मिल कर भी उदासी नहीं जाती दिल की
तू नहीं और कोई मेरी कमी हो जैसे

use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju
magar us ke aariz-e-naaz pe miri har nigaah phisal gai
shaam ke dhundlakon mein Dubtaa hai yuun suraj
jaise aarzu koi mere dil mein marti hai
bichhaDte vaqt anaa darmiyaan thi varna
manaanaa donon ne ik dusre ko chaahaa thaa
gaanv ke parinde tum ko kyaa pataa bideson mein
raat ham akelon ki kis tarah guzarti hai
gham ki band muTThi mein ret saa miraa jivan
jab zaraa kasi muTThi zindagi bikharti hai
kisi ne bhejaa hai khat pyaar aur vafaa likh kar
qalam se kaam diyaa hai mujhe khudaa likh kar
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
aisi taraqqi par to ronaa bantaa hai
jis mein dahshat-gard corona bantaa hai