Shayari
kitne maani rakhtaa hai zaraa ghaur to kar
kuza-gar ke haath mein honaa miTTi kaa
main use subh na jaanun jo tire sang nahin
main use shaam na maanun ki jo tere bin hai
میں اسے صبح نہ جانوں جو ترے سنگ نہیں
میں اسے شام نہ مانوں کہ جو تیرے بن ہے
मैं उसे सुब्ह न जानूँ जो तिरे संग नहीं
मैं उसे शाम न मानूँ कि जो तेरे बिन है

kitne maani rakhtaa hai zaraa ghaur to kar
kuza-gar ke haath mein honaa miTTi kaa
suraj lihaaf oDh ke soyaa tamaam raat
sardi se ik parinda dariche mein mar gayaa
na-jaane kaun si majburiyaan hain jin ke liye
khud apni zaat se inkaar karnaa paDtaa hai
yaqin barson kaa imkaan kuchh dinon kaa huun
main tere shahr mein mehmaan kuchh dinon kaa huun
main puchh letaa huun yaaron se rat-jagon kaa sabab
magar vo mujh se mire khvaab puchh lete hain
banaanaa paDtaa hai apne badan ko chhat apni
aur apne saae ko divaar karnaa paDtaa hai
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi