Shayari
ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
jahaan zidein kiyaa kartaa thaa bachpanaa meraa
kahaan se laaun khilaunon ki un dukaanon ko
جہاں ضدیں کیا کرتا تھا بچپنا میرا
کہاں سے لاؤں کھلونوں کی ان دکانوں کو
जहाँ ज़िदें किया करता था बचपना मेरा
कहाँ से लाऊँ खिलौनों की उन दुकानों को

ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
shikastagi mein bhi kyaa shaan hai imaarat ki
ki dekhne ko ise sar uThaanaa paDtaa hai
raasto kyaa hue vo log ki aate-jaate
mere aadaab pe kahte the ki jiite rahiye
kisi ke aib chhupaanaa savaab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThaanaa paDtaa hai
vo jis ke sehn mein koi gulaab khil na sakaa
tamaam shahr ke bachchon se pyaar kartaa thaa
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
main jaagtaa huun tiraa khvaab dekhne ke liye
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
asar bhi le rahaa huun teri chup kaa
tujhe qaail bhi kartaa jaa rahaa huun
rone vaale hue chup hijr ki duniyaa badli
shama be-nur hui subh kaa taaraa niklaa
chup ho gae tere rone vaale
duniyaa kaa khayaal aa gayaa hai
kitni lambi khaamoshi se guzraa huun
un se kitnaa kuchh kahne ki koshish ki
koi khaamosh zakhm lagti hai
zindagi ek nazm lagti hai