Shayari
kai baar daur-e-kasaad mein gire mehr-o-maah ke daam bhi
magar ek qimat-e-jins-e-dil jo khari rahi to khari rahi
chal 'qaisi' mele mein chal kyaa ronaa tanhaai kaa
koi nahin jab teraa meraa sab mere sab tere
چل قیسیؔ میلے میں چل کیا رونا تنہائی کا
کوئی نہیں جب تیرا میرا سب میرے سب تیرے
चल 'क़ैसी' मेले में चल क्या रोना तन्हाई का
कोई नहीं जब तेरा मेरा सब मेरे सब तेरे

kai baar daur-e-kasaad mein gire mehr-o-maah ke daam bhi
magar ek qimat-e-jins-e-dil jo khari rahi to khari rahi
nazar uThaao to jhuum jaaein nazar jhukaao to Dagmagaaein
tumhaari nazron se sikhte hain tariq maut-o-hayaat ke ham
tujhe siine se lagaa luun tujhe dil mein rakh luun
dard ki chhaanv mein zakhmon ki amaan mein aa jaa
aap ko dekh kar dekhtaa rah gayaa
kyaa kahun aur kahne ko kyaa rah gayaa
ye raas rang ye mel milan ik haath mein chaand ik mein suraj
ik raat kaa mauj maza saaraa ik din kaa sair-sapaaTaa hai
ab to faqat badan ki muravvat hai darmiyaan
thaa rabt-e-jaan-o-dil to shuruaat hi mein thaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa
main aa kar dushmanon mein bas gayaa huun
yahaan hamdard hain do-chaar mere
qaanun jaise kho chukaa sadiyon kaa e'timaad
ab kaun dekhtaa hai khataa kaa hai rukh kidhar