Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kai sitaaron ko main jaantaa huun bachpan se
kahin bhi jaaun mire saath saath chalte hain
کئی ستاروں کو میں جانتا ہوں بچپن سے
کہیں بھی جاؤں مرے ساتھ ساتھ چلتے ہیں
कई सितारों को मैं जानता हूँ बचपन से
कहीं भी जाऊँ मिरे साथ साथ चलते हैं

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
phuul afsurda bulbulein khaamosh
fasl gul aai hai khizaan-bar-dosh
kis ki sadaa fazaaon mein gunji hai chaar-su
kis ne mujhe pukaaraa hai bachpan ke naam se
khudaa jaane 'asar' ko kyaa huaa hai
rahaa kartaa hai chup do do pahar tak
dulhaa aur dulhan ki umrein puchhin to maalum huaa
pachpan saal ki laDki hai aur saaTh baras kaa laDkaa hai
sher to mujh se teri aankhein kahlaa leti hain
chup rahtaa huun main jab tak tahrik nahin hoti