Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kisi ne chuum ke aankhon ko ye duaa di thi
zamin teri khudaa motiyon se nam kar de
کسی نے چوم کے آنکھوں کو یہ دعا دی تھی
زمین تیری خدا موتیوں سے نم کر دے
किसी ने चूम के आँखों को ये दुआ दी थी
ज़मीन तेरी ख़ुदा मोतियों से नम कर दे

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
duaa ye hai na hon gumraah ham-safar mere
'khumaar' main ne to apnaa safar tamaam kiyaa
jidhar bhi jaataa hai vo shola-e-bahaar-sarisht
duaaein detaa hai amboh-e-kushtgaan us ko
duaaein maangi hain saaqi ne khol kar zulfein
basaan-e-dast-e-karam abr-e-dajla-baar baras
gar khaak se hamaari putlaa koi banaave
teri duaa mein us ki uTThi kalaaiyaan hon
yahaan se jab gai thi tab asar par khaar khaae thi
vahaan se phuul barsaati hui palTi duaa meri
haae koi davaa karo haae koi duaa karo
haae jigar mein dard hai haae jigar ko kyaa karun