Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
urdu hai jis kaa naam hamin jaante hain 'daagh'
hindostaan mein dhuum hamaari zabaan ki hai
اردو ہے جس کا نام ہمیں جانتے ہیں داغؔ
ہندوستاں میں دھوم ہماری زباں کی ہے
उर्दू है जिस का नाम हमीं जानते हैं 'दाग़'
हिन्दोस्ताँ में धूम हमारी ज़बाँ की है

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar main itnaa bhukaa huun
dhokaa bhi khaa letaa huun
main aap apni maut ki tayyaariyon mein huun
mere khilaaf aap ki saazish fuzul hai
ye dushmani hai saaqi yaa dosti hai saaqi
auron ko jaam denaa mujh ko dikhaa dikhaa ke