Shayari
ho umr daraaz zakhm-e-dil ki
jis se dar-e-dil ko baaz paayaa
F
Fakhruddin Khan Mahirdil to be-tarah meraa lag hi chalaa thaa us se
par main juun tuun ke bachaayaa ise khuddaari se
دل تو بے طرح میرا لگ ہی چلا تھا اس سے
پر میں جوں توں کے بچایا اسے خودداری سے
दिल तो बे-तरह मेरा लग ही चला था उस से
पर मैं जूँ तूँ के बचाया इसे ख़ुद्दारी से
ho umr daraaz zakhm-e-dil ki
jis se dar-e-dil ko baaz paayaa
nahin hai khuub sohbat har kisi kam-zarf se lekin
nahin gar maante az-raah-e-naadaani to behtar hai
dil ke badle vo shokh chalte vaqt
de gayaa ham ko intizaar apnaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
kyuun tire dard ko dein tohmat-e-viraani-e-dil
zalzalon mein to bhare shahr ujaD jaate hain
yaa ilaahi is dil-e-betaab ki taamir mein
kis ne patthar rakh diyaa thaa ishq ki buniyaad kaa
dil ki basti puraani dilli hai
jo bhi guzraa hai us ne luuTaa hai