Shayari
tasviron par mat jaanaa
saali jhuTi hoti hain
jaisaa ji mein aae vaisaa kar jaanaa
itnaa bhi aasaan nahin hai mar jaanaa
جیسا جی میں آئے ویسا کر جانا
اتنا بھی آسان نہیں ہے مر جانا
जैसा जी में आए वैसा कर जाना
इतना भी आसान नहीं है मर जाना

tasviron par mat jaanaa
saali jhuTi hoti hain
ye ghalat-fahmiyon kaa mausam hai
apne dil ko sanbhaal kar rakhnaa
nahin charaagh jalaaeinge ab kisi dar par
ham aap apni mohabbat mazaar kar leinge
tire hijrat ke maare bastiyon se laD rahe hain
jinhein yaksar tire dil mein Thikaana chaahiye thaa
chhoD jaaeinge tujhe chaand ke charche sun kar
chaDhte suraj ke pujaari hain tire divaane
vo koh-e-qaaf kaa jaise makin ho gayaa hai
bichhaD ke aur ziyaada hasin ho gayaa hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo jis kaa shauq hai khilte gulaab mal denaa
gale milo to use bhi udaas kar jaanaa
laraz rahi hai zamin sahmi laDkiyon ki tarah
pukaarti hai ki tanhaa na chhoD kar jaanaa
havas ne toD di barson ki saadhnaa meri
gunaah kyaa hai ye jaanaa magar gunaah ke baad
donon bahr-e-shola-e-zaat donon asir-e-anaa
dariyaa ke lab par paani dasht ke lab par pyaas