Shayari
tasviron par mat jaanaa
saali jhuTi hoti hain
chhoD jaaeinge tujhe chaand ke charche sun kar
chaDhte suraj ke pujaari hain tire divaane
چھوڑ جائیں گے تجھے چاند کے چرچے سن کر
چڑھتے سورج کے پجاری ہیں ترے دیوانے
छोड़ जाएँगे तुझे चाँद के चर्चे सुन कर
चढ़ते सूरज के पुजारी हैं तिरे दीवाने

tasviron par mat jaanaa
saali jhuTi hoti hain
ye ghalat-fahmiyon kaa mausam hai
apne dil ko sanbhaal kar rakhnaa
nahin charaagh jalaaeinge ab kisi dar par
ham aap apni mohabbat mazaar kar leinge
tire hijrat ke maare bastiyon se laD rahe hain
jinhein yaksar tire dil mein Thikaana chaahiye thaa
aur is se peshtar us ko bhulaa sakun yaksar
use main us ki tarah yaad aanaa chaahti huun
vo koh-e-qaaf kaa jaise makin ho gayaa hai
bichhaD ke aur ziyaada hasin ho gayaa hai
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
phaili hui hai chaandni ehsaas mein mire
ye kaun meri zaat ke andar utar gayaa
kitnaa pyaaraa lagtaa hai
hotaa hai jab puuraa chaand
eid kaa chaand tum ne dekh liyaa
chaand ki eid ho gai hogi
agar aa jaae pahlu mein 'qamar' vo maah-e-kaamil bhi
do aalam jagmagaa uTTheinge dohri chaandni hogi
puchhaa jo un se chaand nikaltaa hai kis tarah
zulfon ko rukh pe Daal ke jhaTkaa diyaa ki yuun