Shayari
vahi do-chaar chehre ajnabi se
unhin ko phir se dohraanaa paDegaa
raat ko khvaab bahut dekhe hain
aaj gham kal se zaraa halkaa hai
رات کو خواب بہت دیکھے ہیں
آج غم کل سے ذرا ہلکا ہے
रात को ख़्वाब बहुत देखे हैं
आज ग़म कल से ज़रा हल्का है

vahi do-chaar chehre ajnabi se
unhin ko phir se dohraanaa paDegaa
use maalum hai main sar-phiraa huun
magar khush hai ki us ko chaahtaa huun
na kar shumaar ki har shai gini nahin jaati
ye zindagi hai hisaabon se ji nahin jaati
sunte hain ki in raahon mein majnun aur farhaad luTe
lekin ab aadhe raste se lauT ke vaapas jaae kaun
kamre mein aa ke baiTh gai dhuup mez par
bachchon ne khilkhilaa ke mujhe bhi jagaa diyaa
har ik shai khuun mein Duubi hui hai
koi is tarah se paidaa na hotaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa