Shayari
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
dil-dukhe roe hain shaayad is jagah ai ku-e-dost
khaak kaa itnaa chamak jaanaa zaraa dushvaar thaa
دل دکھے روئے ہیں شاید اس جگہ اے کوئے دوست
خاک کا اتنا چمک جانا ذرا دشوار تھا
दिल-दुखे रोए हैं शायद इस जगह ऐ कू-ए-दोस्त
ख़ाक का इतना चमक जाना ज़रा दुश्वार था

chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
main muddaton jiyaa huun kisi dost ke baghair
ab tum bhi saath chhoDne ko kah rahe ho khair
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye dushmani hai saaqi yaa dosti hai saaqi
auron ko jaam denaa mujh ko dikhaa dikhaa ke
dayaar-e-sajda mein taqlid kaa rivaaj bhi hai
jahaan jhuki hai jabin un kaa naqsh-e-paa to nahin
shikaayatein bhi bahut hain hikaayatein bhi bahut
mazaa to jab hai ki yaaron ke ru-ba-ru kahiye
khudi se pyaar karo aur khudaa ke saath raho
ye tum se kis ne kahaa bevafaa ke saath raho