Shayari
bijli chamki to abr royaa
yaad aa gai kyaa hansi kisi ki
nahin bachtaa hai bimaar-e-mohabbat
sunaa hai ham ne 'goyaa' ki zabaani
نہیں بچتا ہے بیمار محبت
سنا ہے ہم نے گویاؔ کی زبانی
नहीं बचता है बीमार-ए-मोहब्बत
सुना है हम ने 'गोया' की ज़बानी

bijli chamki to abr royaa
yaad aa gai kyaa hansi kisi ki
har gaam pe hi saae se ik misraa-e-mauzun
gar chand qadam chaliye to kyaa khuub ghazal ho
aasmaan kahte hain jis ko vo zamin-e-sher hai
maah-e-nau misraa hai vasf-e-abru-e-khamdaar mein
vo tifl-e-nusairi aae shaayad
qasmein duun murtazaa-ali ki
khaar chubh kar jo TuTtaa hai kabhi
aabla phuuT phuuT rotaa hai
saare quraan se us pari-ru ko
yaad ik lafz-e-lan-taraani hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jaane kab kaise giraftaar-e-mohabbat hue ham
jaane kab Dhal gae iqraar mein inkaar ke rang
Tapke jo ashk valvale shaadaab ho gae
kitne ajiib ishq ke aadaab ho gae