Shayari
kuchh aur bhi hain kaam hamein ai gham-e-jaanaan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanvaare
apni to daastaan hai bas itni
gham uThaae hain shaaeri ki hai
اپنی تو داستاں ہے بس اتنی
غم اٹھائے ہیں شاعری کی ہے
अपनी तो दास्ताँ है बस इतनी
ग़म उठाए हैं शाएरी की है

kuchh aur bhi hain kaam hamein ai gham-e-jaanaan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanvaare
sher se shaairi se Darte hain
kam-nazar raushni se Darte hain
duniyaa to chaahti hai yunhi faasle rahein
duniyaa ke mashvaron pe na jaa us gali mein chal
aane vaali barkhaa dekhein kyaa dikhlaae aankhon ko
ye barkhaa barsaate din to bin piritam be-kaar gae
kuchh log khayaalon se chale jaaein to soein
biite hue din raat na yaad aaein to soein
ik tiri yaad se ik tere tasavvur se hamein
aa gae yaad kai naam hasinaaon ke
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ham ne tumhaare gham ko haqiqat banaa diyaa
tum ne hamaare gham ke fasaane banaae hain
gham-e-dil ab kisi ke bas kaa nahin
kyaa davaa kyaa duaa kare koi
aadmi kaa aadmi har haal mein hamdard ho
ik tavajjoh chaahiye insaan ko insaan ki taraf