Shayari
ye kis maqaam pe laai hai zindagi ham ko
hansi labon pe hai siine mein gham kaa daftar hai
samajh ke aag lagaanaa hamaare ghar mein tum
hamaare ghar ke baraabar tumhaaraa bhi ghar hai
سمجھ کے آگ لگانا ہمارے گھر میں تم
ہمارے گھر کے برابر تمہارا بھی گھر ہے
समझ के आग लगाना हमारे घर में तुम
हमारे घर के बराबर तुम्हारा भी घर है

ye kis maqaam pe laai hai zindagi ham ko
hansi labon pe hai siine mein gham kaa daftar hai
us se baDh kar kiyaa milegaa aur inaam-e-junun
ab to vo bhi kah rahe hain apnaa divaana mujhe
sabhi ke diip sundar hain hamaare kyaa tumhaare kyaa
ujaalaa har taraf hai is kinaare us kinaare kyaa
kuchh is ke sanvar jaane ki tadbir nahin hai
duniyaa hai tiri zulf-e-girah-gir nahin hai
dushmanon ki jafaa kaa khauf nahin
doston ki vafaa se Darte hain
vo baat 'hafiz' ab nahin milti kisi shai mein
jalvon mein kami hai ki nigaahon mein kami hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
mabaadaa phir asir-e-daam-e-aql-o-hosh ho jaaun
junun kaa is tarah achchhaa nahin had se guzar jaanaa
haan kaif-e-be-khudi ki vo saaat bhi yaad hai
mahsus kar rahaa thaa khudaa ho gayaa huun main
allaah re zauq-e-dasht-navardi ki baad-e-marg
hilte hain khud-ba-khud mire andar kafan ke paanv