Shayari
miri daastaan bhi ajiib hai vo qadam qadam mire saath thaa
jise raaz-e-dil na bataa sakaa jise daagh-e-dil na dikhaa sakaa
jaam-e-ishq pi chuke zindagi bhi ji chuke
ab 'hilaal' ghar chalo ab to shaam ho gai
جام عشق پی چکے زندگی بھی جی چکے
اب ہلالؔ گھر چلو اب تو شام ہو گئی
जाम-ए-इश्क़ पी चुके ज़िंदगी भी जी चुके
अब 'हिलाल' घर चलो अब तो शाम हो गई

miri daastaan bhi ajiib hai vo qadam qadam mire saath thaa
jise raaz-e-dil na bataa sakaa jise daagh-e-dil na dikhaa sakaa
ham khud bhi hue naadim jab harf-e-duaa niklaa
samjhe the jise patthar vo shakhs khudaa niklaa
paani pe bante aks ki maanind huun magar
aankhon mein koi bhar le to miTtaa nahin huun main
us ajnabi se vaasta zarur thaa koi
vo jab kabhi milaa to bas miraa lagaa mujhe
aaj na ham se puchhiye kaisaa kamaal ho gayaa
hijr ke khauf mein rahe aur visaal ho gayaa
is aql ki maari nagri mein kabhi paani aag nahin bantaa
yahaan ishq bhi log nahin karte yahaan koi kamaal nahin hotaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa