Shayari
zindagi apni musalsal chaahaton kaa ik safar
is safar mein baar-haa mil kar bichhaD jaataa hai vo
thi hausle ki baat zamaane mein zindagi
qadmon kaa faasla bhi yahaan ek jast thaa
تھی حوصلے کی بات زمانے میں زندگی
قدموں کا فاصلہ بھی یہاں ایک جست تھا
थी हौसले की बात ज़माने में ज़िंदगी
क़दमों का फ़ासला भी यहाँ एक जस्त था

zindagi apni musalsal chaahaton kaa ik safar
is safar mein baar-haa mil kar bichhaD jaataa hai vo
na dil mein koi gham rahe na meri aankh nam rahe
har ek dard ko miTaa sharaab laa sharaab de
ye aur baat hai ki barhana thi zindagi
maujud phir bhi mere badan par libaas thaa
kis liye katraa ke jaataa hai musaafir dam to le
aaj sukhaa peD huun kal teraa saayaa main hi thaa
koi to hogaa jis ko miraa intizaar hai
kahtaa hai dil ke shahr-e-tamannaa mein le ke chal
bikhre hue the log khud apne vajud mein
insaan ki zindagi kaa ajab bandobast thaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa