Shayari
tire rang-o-bu ko bhi dekhte na khayaal thaa na majaal thi
jo sakat mili tujhe dekhne ki to rang-o-bu se nikal gae
main apne aap se rahtaa huun duur eid ke din
ik ajnabi saa takalluf nae libaas mein hai
میں اپنے آپ سے رہتا ہوں دور عید کے دن
اک اجنبی سا تکلف نئے لباس میں ہے
मैं अपने आप से रहता हूँ दूर ईद के दिन
इक अजनबी सा तकल्लुफ़ नए लिबास में है

tire rang-o-bu ko bhi dekhte na khayaal thaa na majaal thi
jo sakat mili tujhe dekhne ki to rang-o-bu se nikal gae
main ne jitne bhi log dekhe hain
sab ke sinon mein rog dekhe hain
khinch laati hai samundar se jazire sar-e-aab
jab miri aankh ko manzar ki tamanna ho jaae
itne zaalim na bano kuchh to muravvat sikho
tum pe marte hain to kyaa maar hi Daaloge hamein
main to itnaa bhi samajhne se rahaa hon qaasir
raah takne ke sivaa aankh kaa maqsad kyaa hai
tum ne taaron ko rahnumaa jaanaa
ham ne taaron ki rahnumaai ki
muddaton baa'd kabhi ai nazar aane vaale
iid kaa chaand na dekhaa tiri surat dekhi
main ajab ye rasm dekhi mujhe roz-e-id-e-qurbaan
vahi zabh bhi kare aur vahi le savaab ulTaa
furaat-e-chashm pe hai karbalaa ki tughyaani
darun-e-kufa-e-dil iid karne aayaa huun
iid ke baa'd vo milne ke liye aae hain
iid kaa chaand nazar aane lagaa iid ke baad
kyaa lutf-e-id hai jo agar tum se duur hon
guzregaa roz-e-id tasavvur mein aap ke
ham bhi usi ke saath gae hosh se 'said'
lamha jo qaid-e-vaqt se baahar chalaa gayaa