Shayari
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
main ajab ye rasm dekhi mujhe roz-e-id-e-qurbaan
vahi zabh bhi kare aur vahi le savaab ulTaa
میں عجب یہ رسم دیکھی مجھے روز عید قرباں
وہی ذبح بھی کرے اور وہی لے ثواب الٹا
मैं अजब ये रस्म देखी मुझे रोज़-ए-ईद-ए-क़ुर्बां
वही ज़ब्ह भी करे और वही ले सवाब उल्टा

sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
yuun hai Dalak badan ki us pairahan ki tah mein
surkhi badan ki jaise chhalke badan ki tah mein
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
jangal mein Tesu phulaa aur baagh mein shagufa
fasl-e-bahaar aai mausam gayaa khizaan kaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
muddaton baa'd kabhi ai nazar aane vaale
iid kaa chaand na dekhaa tiri surat dekhi
iid par masrur hain donon miyaan biivi bahut
ik kharidaari se pahle ik kharidaari ke baad
har shab shab-e-baraat hai har roz roz-e-id
sotaa huun haath gardan-e-minaa mein Daal ke
tu na aaegaa to ho jaaeingi khushiyaan sab khaak
iid kaa chaand bhi khaali kaa mahina hogaa
abru kaa ishaara kiyaa tum ne to hui iid
ai jaan yahi hai mah-e-shavval hamaaraa
qurbaan sau tarah se kiyaa tujh par aap ko
tu bhi kabhu to jaan na aayaa bajaae iid