Shayari
pachaas miil hai khushki se bahriya-town
bas ek ghanTe mein achchhaa zamaana aataa hai
zaraa saa mil ke dikhaao ki aise milte hain
bahut pataa hai tumhein chhoD jaanaa aataa hai
ذرا سا مل کے دکھاؤ کہ ایسے ملتے ہیں
بہت پتا ہے تمہیں چھوڑ جانا آتا ہے
ज़रा सा मिल के दिखाओ कि ऐसे मिलते हैं
बहुत पता है तुम्हें छोड़ जाना आता है

pachaas miil hai khushki se bahriya-town
bas ek ghanTe mein achchhaa zamaana aataa hai
kahaaniyon ne miri aadatein bigaaDi thiin
main sirf sach ko zafar-yaab dekh saktaa thaa
dil ki ik ek kharaabi kaa sabab jaante hain
phir bhi mumkin hai ki ham tum se muravvat kar jaaein
reg-e-dil mein kai naadida parinde bhi hain dafn
sochte honge ki dariyaa ki ziyaarat kar jaaein
haan ai ghubaar-e-aashnaa main bhi thaa ham-safar tiraa
pi gaiin manzilein tujhe khaa gae raaste mujhe
ik khauf-zada saa shakhs ghar tak
pahunchaa kai raaston mein baT kar
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
ai zindagi junun na sahi be-khudi sahi
tu kuchh bhi apni aql se paagal uThaa to laa
raat ko roz Duub jaataa hai
chaand ko tairnaa sikhaanaa hai
hamein shikva nahin ik dusre se
manaanaa chaahiye is par khushi kyaa