Shayari
suraj huun chamakne kaa bhi haq chaahiye mujh ko
main kohr mein lipTaa huun shafaq chaahiye mujh ko
ghurbat ki tez aag pe aksar pakaai bhuuk
khush-haaliyon ke shahr mein kyaa kuchh nahin kiyaa
غربت کی تیز آگ پہ اکثر پکائی بھوک
خوش حالیوں کے شہر میں کیا کچھ نہیں کیا
ग़ुर्बत की तेज़ आग पे अक्सर पकाई भूक
ख़ुश-हालियों के शहर में क्या कुछ नहीं किया

suraj huun chamakne kaa bhi haq chaahiye mujh ko
main kohr mein lipTaa huun shafaq chaahiye mujh ko
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ab tu darvaaze se apne naam ki takhti utaar
lafz nange ho gae shohrat bhi gaali ho gai
suraj huun zindagi ki ramaq chhoD jaaungaa
main Duub bhi gayaa to shafaq chhoD jaaungaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
Tapaknaa ashk kaa tamhid hai didaar ki jaise
tulu-e-mahr se pahle sitaara subh-dam nikle
vasl ki raat khushi ne mujhe sone na diyaa
main bhi bedaar rahaa taale-e-bedaar ke saath